In this blog you will find Tricks and Tips about Facebook,Whatsapp,YouTube,Mobile phones,Videos,Play store apps and many other topics,in Sindhi,Urdu and English languages.

Free Facebook Ya WhatsApp Use Karne Se Balance Kyon Khatam Ho Jata Hay

No comments

Asslam o Alaikum.

Friends! Umeed Hay Ke Aap Theek Hongay.

Free Facebook Ya Whatapp Use Karne Se Balance Kyon Khatam Ho jata Hay.

Aaj Kal Android Mobile Ka Zamana Hay,Aur 95% Users Android Phones Use Karte HeN.

Humare Pakistan Ke Boht Se Log Free Facebook Aur Whatsapp Istimal Karte HeN.Magar Jab Aap Facebook Aur Whatsapp Ka Koi Free Package Karte HeN,Aur Aapki Sim MeN Agar Balance Moujood Hota Hay To Wo Balance Data ON Karne Se Automatic Khatam Ho Jate Hay.

Iska Ye Waja Hay Ki Jab Aap Internet Data ON Karte HeN To Aapki Mobile MeN Jitni Bhi Apps Install HeN,Ya System Apps HeN,Wo Bhi Background MeN Running Hoti HeN,Aur Wo Apps Background MeN Chalte Waqt Aapka Balance Khatam Karti HeN,Kyon Ki Aapne To Sirf Facebook Aur Whatsapp Ka Package Kiya  Hota Hay.Is Problem Se Bahut Zyada Log Parishan HeN.

To Aaj MeN Aapko Iska Hal Batata HooN.Jis Se Aap Ka Balance Nahi Cutega.


Aap Mobile Ki Setting MeN JayeN.

Phir Wahan (Data Usage ) Par Click KareN.

Aur Phir Wahan Aik Aik Application Open Karna Hay.Jab Aap Koi Application Yaha Open Karenge.

To Isme Neeche Aapko,

( Restrict Background Data)

Option Nazar Aayega,Is Option Ko Off Kardo.YahaN Aap All Apps Off Kardo.

Iske Baad Aap Internet Data ON Karo,Aur Sirf Facebook Aur Whatsapp Open Karo.Iske Alawa Koi Bhi Apps Open Nahe Karna.Is Tarah Aapke Balance Se 1 Paisa Bhi Nahi Cutega.MeN Khud Bhi Aisa Kar Raha HooN.

Friends! Umeed Hay Ke Aapko Aj Ki Post Passand Ai Hogi.

No comments :

Post a Comment