In this blog you will find Tricks and Tips about Facebook,Whatsapp,YouTube,Mobile phones,Videos,Play store apps and many other topics,in Sindhi,Urdu and English languages.

Jazz cash and Easypaisa fraud

11 comments
Asslam o Alaikum.

Hello friends umeed hay ke ap theek hon gay.

Jazz cash and Easypaisa account holders Be aware.

Friends aj kal Pakistan men Jazz cash aur Easypaisa fraud ka ek method chal raha hay.Aur kuch log Jazz cash holders aur Easypaisa holders ke account se paisay nikaal letay hen.

Wo method ye hay.
Ap ko apne Jazz ya Telenor mobile number par ek message mosool hoga.
Aur kuch der ke baad ap ke number par ek code receive hoga,code received honay ke baad ap ko ek admi  call kare ga, jis men call karne wala boht preshani ke andaz men bol raha hoga aur ap ko mutmaen karne ki koshish kare ga ke men apne ghar walon ko paisay bhej raha tha lekin mere paison ka message aur code ghalti se ap ke number par chala gya hay,aur ap ko Allah aur Rasool ka wasta hay ke ye code number dobara mere number par bhej den mere ghar walon ko paison ki boht zaroorat hay.
Lekin us ki baaton ko sach smjh kar ap wo code kabhe bhe us admi ko nahi bhejna.
Agar ap ne wo code us ko bhej diya to ye ap ki boht bari mistake hogi kyon ke,us code ki madad se wo admi ap ke account men mojood saari raqam nikaal le ga,aur ap kuch bhe nahi kar saken gay.
Kuch din pehlay ek dost ke sath fraud ho gya,uske pas code aya aur phir call aee,aur usne wo code call karne wale ko send kar diya aur kuch der ke baad us dost ke account se Rs.12000 nikal gay.
jazz cash and easy paisa fraud
Jazz cash fraud

Friends! Apne accounts ki kisi bhe qisam ki information kabhe bhe kisi ko na den,aur Jazz cash aur Easypaisa fraud se raqam nikaalne walon ke is fraud se hoshiyar rahen aur apne doston ko bhe bataen,taake wo bhe is fraud se save reh saken.
Friends umeed hay ke ap ko meri ye post achi lagi hogi.
Plz follow my blog and share my post.

11 comments :

  1. This comment has been removed by the author.

    ReplyDelete
  2. Bro mere sath aj yeh fraud hua hai aur mera 38000 ka nuqsan hua hai. kash mujhe iss fraud kay bare may pehly pata hota

    ReplyDelete
    Replies
    1. What can we do once fraud happened? What is the possible remedy?

      Delete
  3. Allah ney bacha liya mujh is nimber sy call ie tha bas mai ney jis par esayposa account tha os number sy reply nh kiya andai ney to message a ka code bji bata diua tha phir us ka kam na bana to muj sy mera nic number manga mai nry mana kar diya phir bol ls ka mai app ko compay sy call kar wata ho phir Allah ney mery dimag mai dala zara net par chack lar lo esaypisa fake call aur muj ko ya web site mil gi 03407586810 ,001930,0042111003737.

    ReplyDelete
    Replies
    1. Ya number hy jin sy call aie
      03407586810
      001930
      0042111003737
      0051100113737

      Delete
  4. ye numbers se bhi fraud ho raha hai
    0309-6287205
    0324-7393689

    ReplyDelete
  5. Is number se b fraud huwa
    03220789591
    0345840461

    ReplyDelete
  6. Sir mra sth aj 25000 k frud hwa h anyone please guide help

    ReplyDelete
    Replies
    1. Kuch naeen ho ga. Apko aware hona chchiay ab to.

      Delete
  7. 6/11/2021 0042111003737
    Mujhy call Aya or kaha k ap ka account block ho raha hai or ap apna account(easy paisa) update Kary hum easy paisa call center waly hai or mujhy ik pin bejha 3737 say jab Mai nay wo share Kia os k sath to Mery account say 22000 rope transfer ho Gaye khuda k lie in logo say bilkul muhtat rahy or wo number ye hai
    0042111003737

    ReplyDelete
  8. Bhaio meri prepaid sim band ho gaee or kissi nay same postpaid no nikaal kar mera jaz cash account hack kar lia or aik lakh ura dia. Abi tak jazz iski inquiry main lagi hue hay . Mujay call naeen aee balkay koi jazz ka andar ka banda mila hua ho ga jis nay yeh kaam kia hay.

    ReplyDelete