How To Hide Any Folder From Gallery in Android Mobile
Asslam o Alaikum.
Friends! Umeed Hay Ke Aap Theek Hongay.
Ajj Aap Ke Liye Aik Zabardast Trick Le Kar Aya Hun Jo Android Mobile Ke Baary Main Hai.
How To Hide Any Folder From Gallery In Android Mobile.
Android Mobile Ki Gallery Se Kisi Bhe Folder Ko Kese Hide Karen.
Aksar Dost Hum Se Puchty Rehty Hain Ke Hum Apni Gallery Se Kisi Folder Ko Kaisy Hide Karen, Matlab Ye Ke Hum Kisi Bhe Folder Ko Gallery Main Chupa Lain Matlab Wo Folder Gallery Main Dikhayi Na De, Or Hum Ajj Is Ke Liye Trick Le Kar Aye Hain Or Ye Trick Baghair Kisi Application Ke Working Hai. To Chalty Hain Trick Ki Janib.
How to hide any folder from Gallery in Android Mobile |
➡Sb Se Pehlay Menu Main Jaa Kar File Manager Main Jain.
➡Ab Us Folder Ko Rename Karen Jisko Aap Hide Karna Chahty Hain.
➡Ab Us Folder Ke Naam Se Pehlay Dot [.] Lagayen.
For Example:
Before:
VIDEOS
After Rename:
.VIDEOS
Ab Aapka Folder Dot[.] Lagany Se Gallery Main Dikhayi Nahi De Ga.
NOTE:
Kuch Dostun Ka Folder File Manager Se Bhi Ghayib Hojata Hai Wo File Maneger Open Kar Ke Device Storage Main Jain Or Uper Corner Main 3 Dots Ka Icon Hoga Us Pe Click Kar Ke "Show Hidden Files" Par Tick ✔ Laga Lain Show Ho Jaye Ga.
Ab Dubara Us Folder Ko Gallery Main Show Karny Ke Liye Nechy Diye Gaye Steps Ko Follow Kren.
➡Sb Se Pehlay Menu Main Jain Or Phir File Manager Main Jain.
➡Ab Us Folder Ko Rename Karen Jisko Aap Gallery Main Show Karna Chahty Hain.
➡Ab Us Folder Se Pehlay Dot[.] Khatam Kar Dain.
For Example:
Befor:
.VIDEOS
After:
VIDEOS
Lain G Ab Aapka Folder Gallery Main Show Ho Chuka Hoga.
Mujhy Umeed Hai Apko Ye Trick Passand Aye Gi.
Subscribe to:
Post Comments
(
Atom
)
No comments :
Post a Comment