In this blog you will find Tricks and Tips about Facebook,Whatsapp,YouTube,Mobile phones,Videos,Play store apps and many other topics,in Sindhi,Urdu and English languages.

Aapke CNIC Par Kon Konse Numbers Registered He

No comments

Asslam o Alaikum. 

Friends! Umeed Hay Ke Aap Theek Hongay.

Dosto Boht Se Logon Ko Ye Pata Nahi Hota Ke Unke CNIC Par Kon Konse Numbers Activate HeN. Aj MeN Aapko Bataonga Ke Aap Kese Maloom Kar Sakte HeN Ke Aapke CNIC Par Kon Konse Mobile Numbers Register Hai.Abhi Maloom Kare.

Agar Apki Shanakhti Card Par Koi Numbers Registers HeN Aapko Nahi Maloom Kon Kon se Numbers Mere CNIC Par HeN,To Iske Liye Aj MeN Aapko Ek Esa Trick Batata Hon Jiske Zariye Aap Kisi Bhe Network Par Ye Check Kar Sakte Ho Ke Aapke CNIC Par Kon Kon Si Sims HeN.

● Warid:

Agar Aap Warid User Hai.To Aap Write Message Me Apna CNIC Number Likho Baghair Dashes Ki, Aur Phir 789 Par Send Kardo.

● Telenor:

Agar Aap Telenor User Hai To Aap Write Message Me Apna CNIC Number Likho Baghair Dashes Ki, Aur Phir 7751 Par Send Kardo.

● Ufone:

Agar Aap Ufone User Hai To Aap *336*2# Code Dial Kare.
Ya Write Message MeN Apna CNIC Number Likho Baghair Dashes Ki, Aur Phir 6001 Par Send Kardo.

● Mobilink Jazz:

Agar Aap Jazz User Hai To Aap Write Message MeN Apna CNIC Number Likhe Baghair Dashes Ki, Aur Phir 6001 Par Send Kardo.

● ZONG:

Agar Aap ZONG User Hai To Aap Write Message MeN V Likh Kar 7911 Par Send Kardo.

Note.Aap Jis Network Ki Sim Se Message Karoge Wo Number Aapke CNIC Par Register Hona Chahiye.
Aur Aap Jis Network Ki Sim Se Message Send Karoge Wo Sirf Aapko Usi Network Ka Number Bataega.

For Example Maine Jazz Sim Se Ye Message Send Kar Diya To Mujhe Sirf Ye Batayega Ki Apki CNIC Par Ye Jazz Numbers Register Hai.
Agar Aap Telenor Se Check Karoge To Apko Sirf Telenor Numbers Show Karega.
Aur Iski Koi Charges Nahe Hai Ye Sub Kuch Free Hai..Aap Zaroor Try Karle.
Friends! Umeed Hay Ke Aapko Ye Post Passand Ae Hogi. 

No comments :

Post a Comment