In this blog you will find Tricks and Tips about Facebook,Whatsapp,YouTube,Mobile phones,Videos,Play store apps and many other topics,in Sindhi,Urdu and English languages.

Samsung mobile ka software kese kren

1 comment

Asslam o Alaikum.
Hello friends!
Aj men apke lye ek aur trick lay kar aya hon aur wo ye hay k jab bhi mobile hang ho jata hay ya ON nahe ho raha ya automatic ON/OFF ho raha ho ya aise koi problem ho to uska software kharab hota hay,aur usko new software ke zarye theek kya jata hay.
To aj men apko all Samsung mobile ka software karne ka method batata hon.

Requirements:

• Samsung USB Driver,
• Odin Flash Tool,
• Flash File,
• Computer,
• Data Cabel.

● Sub se phle apne computer men Samsung USB Driver download kar ke install karen.
● Ab apne mobile ke  model number ke hisab se official stock rom file download karen.
For example apka phone Galaxy Grand2 SM-G7102 hay to ap Google par aisa search karen.

Official Stock Rom For Galaxy Grand2 SM-G7102

● Ab apna mobile off karen aur phir,
Volume Down,
Power Button,
Home Button,
Ye 3no btton aik sath press karen to apka mobile download mode men chala jaega.
Phir aap volume up + ka button press karen.

● Ab apne jo Odin flash tool download kya hay usko extract karo aur usme Odin exe file meN hoga,usko open karen,
aur phir apne mobile ko USB cable ke zarye computer se connect karen jab connect ho jaye to added message show ho jaega computer men.

● Ab apne jo stock rom file download kiya tha usko extract karen aur usme tar.md5 file melega apko to aap Odin me PDA button par click kar k apna stock rom file me se tar.md5 wala file select karen aur phir neeche START par click karen.

● Ab flashing process start ho jayega,phir Odin men left side men pass message ka green option show ho jayega,phir mobile se data cable nikalen.
Ab apka mobile recovery mode men chala jaega,to ap wahan wape/cache ko bhi clear karen aur phir hard reset bhi karen auur phir reboot par click karen to  apki mobile mem software complete install hon jaega.Apki mobile men jo bhi problem hoga wo software k zarye theek ho jayega.Ap ghar bethe apna mobile khud theek kar sakte ho,Samsung mobile ka software karane ke lye kisi software shop par jane ki zaroorat nahe hay.
Friends follow my blog and share my post.

1 comment :

  1. Bhai Aapki Sim men kam se kam 1 Rupee hona chahiye,Phir balance wapas aega.

    ReplyDelete