In this blog you will find Tricks and Tips about Facebook,Whatsapp,YouTube,Mobile phones,Videos,Play store apps and many other topics,in Sindhi,Urdu and English languages.

Purane Mobile Ko Fast Kese Karen

No comments
Asslam o Alaikum.

Friends! Umeed Hay Ke Aap Theek Hongay.
Main Ajj Ap Ke Liye Aik Zabardast Post Le Kr Aya Hoon Umeed Hay Ke Aapko Pasand Aye Gi Aur Kaam Bhe Aye Gi.
Aksar Hum Jab Apna Android Mobile New Lety Hain To Wo Fast Hota Hay Aur Kuch Arsay Ke Baad Wo Slow Hojata Hay.
Ajj Main Is Maslay Ka Hal Le Kar Aya Hoon.
Asal MeN Aisa Hota Hay Ke Hum Bahot Se Applications Install Kar Lety Hain Aur Android Mobile Un Applications Ka Data Save Karty Rehty Hain.Kuch Arsay Ke Baad Un Applications Ka Data Bahot Ziada Ho Jata Hay Jis Ka Asar Mobile Par Parta Hay Aur Mobile Ziada Data Hony Ki Wajha Se Slow Ho Jata Hay.
Ab Main Apko Is Ka Hal Btaunga.
Nechay Diye Gaye Steps Par Amal Kren Aur Apna Android Mobile Dubara New Jaisa Bnayen.
Sab Se Pehlay Apny Android Mobile Se Fazool Applications Ko Uninstall Kar Len Jo k Aap Ke Kisi Kam Ki Nahe Hain Kiun Ke In Apps Ki Wajha Se Mobile Slow Chall Rha Hota Hay.


Purane Mobile Ko Fast Kese Karen
Purane mobile ko fast kese karen

STEPS:

Sb Se Pehlay Menu Main Jaa Kar Settings MeN Jain.

Us K Baad Applications Ya Applications Manager MeN Jain.

Ab Tamam Applications Ko Baari Baari Open Karty Jain Aur Nechy "Data Clear" Wala Button Hoga Us Par Click Karty Jain.

Is Se Tamam Apps Aisy Ho Jain Gay Ke Jaisy Abi Install Hue Hon Aur Unka Jamma Shuda Data Bhe Clear Ho Jaye Ga.

NOTE:
Massages, Whatsapp, Contacts Waghaira Ke Apps Ka Data Clear Na Kren Kiun Ke Ap Ke Tamam Phone Memory Walay Msgs Aur Contects Chally Jain Gay Aur Baqi Tamam Applications Ka Data Clear Kar DeN.
For Example:
Facebook,
Messenger,
Play Store,
Etc..
Ka Data Clear Kar LeN.

NOTE:
Data Clear Karny Se Aapko Apny Accounts Dubara Login Karny Parengy.

Jb Tamam Applications Ka Data Clear Ho Jaye To File Manager MeN Jaakar Phone Storage Se Apna Qemti Data Nikal LeN Aur Phir Phone Storage Ko Bhe Format Kar LeN.

Us K Baad Apny Mobile Ko Kuch Waqt Ke Liye Off Kar DeN Us Ke Baad Dubara On Kren.
LeN G Ab Aapka Mobile New Mobile Ki Tarha Fast Chally Ga.

Friends! Mujhy Umeed Hay Ke Aapko Ye Post Passand Ae Hogi.

No comments :

Post a Comment