In this blog you will find Tricks and Tips about Facebook,Whatsapp,YouTube,Mobile phones,Videos,Play store apps and many other topics,in Sindhi,Urdu and English languages.

Android Mobile garam hone ke karan aur uska solution

No comments

Asslam o Alaikum


Friends ! Umeed hay ke aap theek hongay.
Aj meN aapko bataonga ke Android Mobile garam hone karan kya heN aur uska solution kya hay.

Step 1.

Running Apps.
Mobile ke background meN bahut se apps chalte rehte hai jo ki processor aur Ram ko use karte heN jinki wajah se aapka phone garam hota hay aur uski speed bhi slow ho jati hay aur atakne lagta hay,isliye mobile garam hone par check zarur kareN ki background meN koi apps run to nahi kar raha.
Kaisay check karen.
Step 1.Sabse pehle aap aap apne android phone ki settings meN jayen.
step 2.Uske baad app applications par click karen.
step 3.Ab aap running app ko select karen jahan aap all background running apps ko dekh skte heN.
step 4.Ab aap apps ke icon par click karen Aur force stop par click karen to aapke jitne bhi background running app heN sab ka force stop karden.
Sab ka force stop karne par aapke background running apps chalna band ho jayega aur aapke phone ki speed increase bhi ho jayegi,iske bacha ke liye aap ek badiya sa antivirus ko use karen aur har 20-25 minutes baad phone ko antivirus se scan karen.

Step 2.

Virus.
Kai baar hamare phone meN aa jata hay aur hamen pata bhi nahi chalta iske wajha kya hay aur phone garam aur hang hone lagta hay.

Step 3.

APPS GPS aur google map ko use karne se bhi mobile ziada garam ho jata hay,agar in apps ko use karte ho to use karne ke baad offline kar den.

Step 4.

Internal Memory.
Kai baar hamare mobile ki internal memory bhar jane ki wajah se bhi phone garam hone lag jata hay aur atakne lagta hay isliye kabhi bhi ho phone ki memory par kuch space bacha ke rakhe.

Step 5.

Charger.
Agar charging ke waqt aapka phone hang ho to iske liye dusre charger aur power socket ka use karen ek baar ye bhi check karen ki charging pin mobile se acche se connect hay ya nahi agar abhi bhi problem aati hay to aap battery badal deN, ho sakta hay ki aapki battery meN problem ho.

Step 6.

Software_Update.
Kai baar purane software ki wajah se bhi phone garam hota hay,isiliye agar software purana ho gaya ho to update karana na bhoolen.

Step 7.

App_Overload.
Mobile pade pade hi garam hora ho to aap samajh jaiye ki mobile overload ho gaya hay aur settings meN jake battery ko check kareN ki kon si application zyada battery ka use kar rahi hai or use turn off kar lijiye.

Step 8.

Compress_Data.
Mobile browser settings meN jakar Compress data ko active kar deN,is se aapka data kam kharch hoga aurr aapka phone garam bhi nahi hoga.
Agar aap in sab bato ko zehan meN rakhenge to aapka phone garam nahi hoga aur aap aasani se apne phone ko chala skte ho.

Friends! Umeed hay ke aapko ye post passand ae hogi.

No comments :

Post a Comment