In this blog you will find Tricks and Tips about Facebook,Whatsapp,YouTube,Mobile phones,Videos,Play store apps and many other topics,in Sindhi,Urdu and English languages.

Important Tips for Mobile Reparing

No comments

Asslam o Alaikum.


Friends! Umeed Hay Ke Aap Theek Hongay.
Aj MeN Aapko Mobile Reparing Ke Baare MeN Kuch Important Tips Bataonga.

Important Tips for Mobile Reparing.

1.When Device Is In Water.

Jab Aapka Phone Pani MeN Gir Jaye Toh Sabse Phele Usay Pani Se Bahar Nikale, Phir Uski Battery Phone Se Alag Hata LeN, Aor Usko Dhoop MeN Sukhne Ke Liye Rakh DeN.Dhoop Me Battery Ko Nahi Rakhe Sirf Mobile Ko RakheN.Phone Ko 2-3 Hours Ke Baad On Kare Aor Dekhe Ki On Hota Hay Yaa Nahi.Agar On Nahi Ho Raha Hay To Usko Shop Par Le Jaye Kyu Ki Uski Service Hogi.

2.Don't Power On / OFF.

Jab Device On Yaa Off Nahi Ho Toh Aapko Samaj Lena Chahiye Ki Aapke Phone Ka Software Died Ho Gaya Hai Aor Usme Shop Par Jake Software Install Karwana hoga.Aap Ise Ghar Par Bhi Kar Skate HeN Lekin Iske Liye Aapko Computer Chahiye Aor Iski Malomat Bhi Honi Chahiye.

3.White Display Problem.

Kabhi To Chalte Huye Phone MeN Display White Yaa Blue Ho Jati Hain,Iske Liye Sabse Phele Yeh Dekho Ki Ye Problam Aapko Set Girne Par Aayi Yaa Phir Display Change Karwane Par.Iske Suport Par Aap Iska Solution Kar Sakte Ho.Changing Ke Liye Aap Phir Se Dukan Par Jaye.

4.Charging Problem (Bad Connect).

Kai Bar Charging Lagane Par Ek ”Bad Connect” Eroor Ata Hay,Jiska Matlab Hay Ye Phone Charger Ko Support Nahi Kar Raha Hay Isliye Aapko Ise Change Karne Ki Zarurat Hay.Aapko Usi Company Ka Charger Use Karna Chahiye Jis Company Ka Mobile Hay.

5.Insert Sim Problem.

Kaee Bar Aata Hai Ki Sim Not Support.
Toh 1,2 Bar Sim Badal Kar Dekhe.Check Kare Ki Sim Jeck MeN Koi Khachra Toh Nahi Hay,Agar Phir Bhi Sahi Nahi Ho toh Aapke Set MeN Network IC Dead Hain,Isliye Ise Change Kare.
Cell Phone Repair Ke Liye Aapko Buhut Saare Gadted Ki Zarurat Hoti Hay,Jaise Ki Solder,Taar,Meter , Etc.

Friends! Umeed Hay Ke Aapko Aj Ki Ye Post Achi Lagi Hogi.

No comments :

Post a Comment