Tricks n Tips World

In this blog you will find Tricks and Tips about Facebook,Whatsapp,YouTube,Mobile phones,Videos,Play store apps and many other topics,in Sindhi,Urdu and English languages.

Set Data Limit in Your Android Mobile and Save Balance

No comments

Asslam o Alaikum.

Friends Umeed Hay Ke Ap Theek Hongay.
Android User Ke Liye Ek Trick Laya Hon Jis Se Aaka Balance Zaya Hone Se Bachaya Ja Sakta Hay.
 
Takreeban Sab Mobile User Internet Chalata HeN Android Mobile MeN.
Ab 4g Pakistan MeN Chal Raha Hay,Jitna Internet Fast Hota Hay Utna Hi Mb Zyada Use Karta Hay.
 
Aksar Hota Ye Hai Android User Internet
Chala Raha Hota Hay Package Kam Hone Ki Waja Se Mb Khatam Hojate HeN,Aur Jo Paise Hamare Sim MeN Hoty HeN Wo Bhe Internet Ki Waja Se Khatam Hojate HeN.
 
Ap Ko Maloom Hoga Agar Mb Na Ho To kitna Balance Use Hota Hay Isliey Internet User Har Waqt Apna Package Check Karta Rehta Hay Ke Package khatam To Nahi Hogiya.
 
Aj Main Apko Aisi Trick Bataonga Jo Apko Is Pareshani Se Aram Dilaigi.
  
Follow These Steps To Set Data Limit.
 
Step#1:
Sabse Pehle "Setting" Open Karain.
 
Step#2:
Phir "Data Usage".
 
Step#3:
Ab Orange Line Ko Jitne Mb Par Set Kardo
Jitna Mb Par Set Kroge Utne Mb Jab Use Hojainge To Mobile Data Usi Time Khud He Off Hojaiga.
 
For Example: Apke Internet Package Ko khatam Hone MeN Sirf 30 Mb Bachy Howe Hon To Ap 25 Mb Par Is Orange Line
Ko Set Kar Den.
Jab 25 mb Use Honge To Usi Time Mobile Data Off Hojaega.
   
Friends Umeed Hay Ke Apko Meri Post Achi Lagi Hogi.

No comments :

Post a Comment

Mobile hang hone ke karan aur uska solution

No comments
Asslam o Alaikum.
Friends  umeed hay ke ap theek hongay.
Aj meN aap ke liye ek new post le kar aya hon,umeed hay aapko passand aegi.

Mobile hang gone ke karan aur unka

solution.

Bahot se friends pochte heN ke mobile hang ho raha hay uska solution kya hay.Ye post un doston ke liye hay.
   Îž    Îž
Main point pe hum jaate heN to pehle to hamara
android mobile hona chahiye kyuki mera exprience sirf android ka hi hay aur zyada tar log android hi use kar rahe heN.
   Îž

Follow these tips.

   Îž
Tip 1:
Aapke mobile meN jo bhi anti virus aur jo cleaning ke apps installed heN unhe pehle hi uninstall karden.
  Îž
Tip 2:
Ab aapke mobile me to bahot se apps honge ab aap ko jitne kam kaam aate heN unko bhi saath meN uninstall karden kyun ki ye apps aapke bhe aapke mobile ko hang kar sakte heN kyun ki unke waja se dhire dhire apka data storage kam hojata hay aur aapko pata bhi nahi chalega aapka mobile kyon hang ho raha hay.
   Îž
Tip 3:
Ye ek main point hay ab aap jo bhi apps ka use nahi karte ho use force stop kardo kyun ki agar wo running meN hoga to aapka mobile bahoti hang hoga
   Îž
Tip 4:
Aur kuch kuch apps ke data bhi clear karte
raho kyun ki time pe data badh jaane pe mobile
hang nahi hoga kuch limit rakho.
   Îž
Tip 5:
Ab agar aapne naya phone liya ho to aapke mobile meN dhara dhar app mat install karen kyun ki esa karne se naya naya mobile load nahi karsakta aur kuch hi dino baad aapka mobile hang hone lag jaata hay.
   Îž
Tip 6:
Zyada tar log internal storage meN apps install karte heN to esa karne se RAM pe bhi
dabao badhega aur mobile hang hone lag jaayega, isliye ziyda tar apps ko aap memory card meN install karen aur jo bhi aapne internal meN install kiya hay usay aap memory card meN transfer karden.
   Îž
Tip 7:
Aapke internal storage ko clear rakhen, mens ki apke phone memory meN mat bhariye kuch bhi, aur memory card meN bhi kuch space rakhe jese ki aapke paas agar 16 GB ka momery card hay to aapko 2-3 GB tak ki to space rakhni he hogi.
   Îž
Tip 8:
Agar aap internet chalate heN to data On kerne ke baad kuch der ke liye kahin bhi tuch mat kariye kyun ki aap jab bhe data On karte ho tab bahot si proccess on hojaati heN jese ki Whatsapp ,Facebook notifications,any update etc aur agar aap kahin pe touch karenge to system bahoti hang hoga.
Kyon ke samne bahot se process chal rahe heN aur aap aur bhi chalana chahte ho to kuch notifications ko full aa jaane ka wait karen baad meN unko open karlen baad meN hi kuch kaam karen.
   Îž
Tip 9:
Baar baar aapke memory aur phone memory ko pc meN connect karke scan karte rahen kyon ki kuch viruses honge to wo nikaal denge.
   Îž
Tip 10:
Aur aap boht high leval ke browser use karte ho jese ke Google Chrome,Morzila,UC browser,esay high leval ke browser ka data zarur clear kareN.
Kyon ke zyada tar aapke mobile ko ye hi browser
hang karte heN un sabhi ke andar se clear
cookies,clear data,clear history,ye sub zarur karen,kyon ke aapke mobile ke system pe bahoti kam load ho.
   Îž
Mene ye 10 best tips diye heN,ye aapke liye bahoti jaruri tips hay kyon ke aaj kal dekha jaaye to achhe se achhe mobile isi tarah se hang ho jaate heN,to friends bolte rehte heN ki yaar Mobile hang ho raha hay.
   Îž
Friends umeed hay ke aapko meri ye post achi lagi hogi.
   Îž

No comments :

Post a Comment

Apne name ki ring tone kese babae

No comments
Asslam o Alaikum.
Hello Dosto Umeed hay ke ap theek hongay.
 Aj ki es post me hm bat karenge ki hm apne name ki ringtone kaise banaye dosto agr aap apne name ki ringtone banana chahte hai to ye post aapke liye boht hi helpful hai aap is post ko poora read karke boht hi aasani se apne name ki ringtone bana sakte hai..

Website se ringtone kaise create kare....
Sab se pahle ap is link par click karen.                  https://freedownloadmobileringtones.com/

Ab aapko is website ke home page par search ring tone ka option dikhae dega,aapko us option par click karna hay.
Jab aap us search ring tone par click karengay to ek new page open hoga.Ab aapko ek search box dikhae dega.Aapko us men apna name type karna hay aur phir search par click karna hay.Ab aapke samne apne name ki saari ring tones aajaen gi,ab aapko us ring tone ke nichay download ka link milega us par click karna hay.
Ab aapke samne ek new page open hoga ab ring tone ke samne walay download option par click kar ke download kar len.

Mobile App se apne name ka ringtone kaise banaye....

My Name Ringtone Maker se Ringtone banaye....

Sabse pahle aap My name ringtone maker app ko download kar lijiye....
Ab is app ko open kare....
Jab aap is app ko open karoge to aapko isme 3 option milege....
Ab aap sabse pahle create ringtone ke option par click karna hai....
Ab aap is box me apna name type kare....
Ab aapke name ki ringtone teyar ho gyi hai agr aap ringtone ko sunna chahte hai to play par click kare or agr download karni hai to save par click kare....
or ab aapko apni us ringtone ka name type karna hai name type karne ke bad aap save button par click kre ab aapki ringtone download ho jayegi....

FDMR ringtone maker app se ringtone banaye....
Sabse pahle aap FDMR ringtone maker app ko download kar lijiye....
Ab is app ko open kare....
Ab Make ringtone ke option par click kare....
Ab is diye hue box me apna name type kare....
Ab aapko apni ringtone ke massage ko select karna hai taki jab aap us ringtone ko apne phone me lagaye taki kis trah ki ringtone bajni chahiye....
Ab aapko apni ringtone ke liye music select karna hai....
Ab aapko niche diye hue Create ringtone par click karna hai....
Ab agr aap apni ringtone ko sunna chahte hai to play par click kare or agr download karna chahte hai download ke symbol par click karke download kar lijiye...
Friends umeed hay ke apko ye post passand ae hogi.


No comments :

Post a Comment

Google drive kya hay aur usay kesay use karen

No comments

Asslam O Alaikum.

Friends umeed hay ke ap theek hongay.
Aj ki post mein,mein apko bataonga ke Google drive kya hay aur usay kesay use karen.
Google drive kya hay aur usko kesay use karen
Google Drive kya hay aur usko kesay use karen

Google drive kya hay.

Google drive Google ne banae hay ye Google ki service hay jo hamen kisi bhe tarah ki files online storage karne ke liye space deta hay.
Jesay ke hamare sabhe file memory card ya PC ke hard drive CD, DVD aur storage data mein save hoti hein theek usi tarah ki storage ham Google drive pe store kar sakte hein.
Google drive April 2012 mein shuru hua tha aur aj uska use bari bari companies apne important files documents save karne ke liye ya ek jaga se doosri jaga share karne ke liye kar rahi hein.
Is mein 15 GB free storage hota uske baad paisay dekar storage ko ziyada kiya ja sakta hay.
Dunia mein cloud storage mein Google drive sab se aagay hay,jahan boht sare features Google drive par hein jiska use karna boht he asan hay.

Google Drive ko use kesay karen.

Google drive mobile,PC,lagbhag tamam platforms par available hay.
Iske liye ek gmail id ki zarurat hogi,jis se Google drive access hota hay.
Android phone ke liye Google PlayStore mein jakar Google drive search kar  ke download kar len.
Open karne ke baad Gmail id aur password daalen,aur apka Google drive ready ho gya.
Ab jo files ap save karna chahte hein wo us mein save karen,uske liye apke pas internet connection hona zaruri hay,kyon ke ye online storage space deti hay.
Dosre computer ya mobile se files dekhne ke liye ap Google drive par jakar login kar ke files dekh sakte hein.
Apne Gmail account par drive ka option hota hay wahan se access kar ke bhe files dekh sakte hein ya share kar sakte hein.

Google Drive ke faiday.
1.Memory card ya pc ka hard disc, Dvd, CD,mein file save hoti lekin kabhi bhi isme virus ya crash ya galti se formate hone ke waja se delete ho jati hay,lekin google drive pe har qisam ki file save rahti hai.
2.Kahin baher ja rahe ho to pen deive ki baar baar sath le jane ki zarurat nahi hay kyon ke Google drive par save kar de to jahan chahe log in kar ke file dekh sakte hein.
3.Hamare har tarah ke photo videos,songs,documents save kar ke mehfooz kar sakte hein.
4.Apni files kisi bhe admi ko share kar sakte hein.
5.Apne mobile ya PC Camera se important dastawez ko scan kar ke mehfooz kar sakte hein.
6.Computer ya memory card jesa yahan folder bana ke us mein alag alag file folder create kar ke us mein save karna asan hota hay.
7.Personal app aur contact number store kar sakte hein.
8.Family ke video aur photo album store kar sakte hein
9.Whatsapp user Whatsapp ka backup le sakte hein,chat history ka back up bhe le sakte hein.
10.File storage karne ke sath he microsoft power point, exel file bana kar store kar sakte hein,ya ye jab chahiye kisi bhe person ko dikha sakte hein.

Dosto!  Umeed hay ke apko aj ki post passand ae hogi.

No comments :

Post a Comment

Android Mobile mein apna Memory card kesay hide karen

No comments
Asslam o Alaikum.

Friends umeed hay ke so theek hongay.
Aj mein apko ye bataonga ke ap apne Android Mobile mein apna memory card kesay hide kar sakte hein.
Hamare Mobiles mein personal data hota hay,ya apni passand ke videos,movies ya personal pictures hotay hein.
Magar phir problem ye hoti hay ke hamare friends ham se mobile mangte hein aur ham friendship ki khatir usko inkaar bhe nahi kar sakte is liye ham mobile usko de detay hein.
Aur wo hamara data dekhte hein.
To uske liye ap aj ka ye trick use karo
kyon ke apki mobile mein card hoga lekin usko show nahi hoga.
Phir agar wo so se mobile mange to bina tension de den.
To iske liye sab se pehle,

⇨Settings

mein jaen,
aur phir,

⇨ Storage

par click karen,
ab yahan par ap neeche,
Android mobile mein apna memory card kesay hide karen
Android Mobile mein memory card hide karen

⇨ Unmount SD Card

par click karen,
phir apko oper Notification nazar aega,

⇨SD Card Safe To Remove..

Is ko clear kardo.
Lo g ab apka Memory Card hide ho gya
Ab apka data empty dekhai dega.

Hidden Memory Card wapas kesay show karen.

Phir jab ap apni Memory Card ko wapas theek karna chahte hein,
to uske liye wapas,

⇨Setting

 mein jaen aur phir,

⇨ Storage

par click karen.
Ab yahan par apko

⇨ Mount SD Card

par click karna hay.
Lo g apka SD Card wapas show ho jaega.
Dosto ! Umeed hay ke ye post apko passand ae hogi.

No comments :

Post a Comment

Facebook Account Email aur Number ke baghair kese Login karen

No comments
Asslam o Alaikum.
Friends! umeed hay ke ap sab theek hongay.
Aj mein ap ko ek trick bataonga,agar ap apni Facebook account ka email aur number bhool chukay hen aur sirf password ap ko yaad hay to ap us account ko kese login kar sakte hein.
Sab se pehlay ap kisi bhe account se wo account search karo,jis ka email ya number ap bhool chuke ho.
Aur ab uski profile open karo,phir uska profile link copy karo to uska link kuch is trah hoga.
https://www.facebook.com/ahsan.laghari
Is link mein ahsan.laghari wala user name hoga,isko copy karna hoga aur agar ap ID number mallom karna chahte hein to uski profile picture par click karen phir uska link aega is tarah,
https://free.facebook.com/photo.php?fbid=337861406709493&id=100014569090831&set=a.113249419170694&refid=17&ref=dbl
Is link mein id= se lekar &set tak jo 15 digits number hein unko copy karo.Ye wala number 100014569090831 to ye ap ka ID number hoga.
Ab ap Facebook open karen aur emails aur phone walay box mein apna user name ya ID number likhen,aur phir apna password likh kar login karen to ap ka account login ho jaega.
Friends umeed hay ke aj ki post ap ko passand ae hogi.

No comments :

Post a Comment

Mobile Apps ko Voice lock kese lagaen

No comments
Asslam o Alaikum.
Friends umeed hay ap theek hongay.
Aj mein ap ko ek trick bataonga ke jis se ap WhatsApp aur Facebook par lock laga sakte hein.
Sab se pehlay ap ne PlayStore ke neechay waly link se AppLock Face name ki 1 application install karni hay,

Mobile phone mein apps ko lock kese lagaen
AppLock Face/Voice recognition
Mobile phone mein apps ko voice lock kese lagaen

https://play.google.com/store/apps/details?id=com.sensory.tsapplock

Phir is app ko open karen aur agree par click karen,phir start par click karen uske baad last walay option (Create your own unlock phrace) par click karna hay,phir agay apni marzi ka koi name likhna hay aur tick kar dena hay.Uske baad ( Skip to Enrollment) walay option par click karna hay,agay ap ka Camera on ho jaega,us mein ap ne apne face ko agay kar ke wo name bolna hay Jo ap be wahan likha tha.3 se 4 dafa ap ne wo name app mein bolna hay.Phir agay apni marzi ka pin laga dena hay.Ap ka account ban jaega.
Phir neechay OK Got it par click karna hay.Agay ap ke saare apps show ho jaen gay. Ab ap jis app par bhe lock lagana chahte hein uske ke right side mein last walay dot par click kar dena hay bas ap ka kaam ho gaya.
Ab ap ne jis app par lock lagaya tha usko open karna hay to wahan apka face lock aega ap ne apne face ko camera ke agay kar ke wo bolna hay Jo wahan bola tha to apka lock open ho jaega.
👉Friends umeed hay ap ko ye post passand aegi.

No comments :

Post a Comment

How to Install Urdu font in Android Mobile

No comments
Asslam o Alaikum.

Friends aj mein ap ke liye ek new post le kar aya hon jis men ap ko bataonga ke apne Mobile mein Urdu font kese install karen.
Note.Ye post sirf Android users ke liye hay.
Ap ne aksar FaceBook ya koi bhe social site chalate huay ye cheez mehsoos ki hogi ke yahan Urdu mein boht farq hay aur jo Urdu font Urdu ki books mein hotay hein wo different hein aur jo yahan mobile mein hein wo different hein.Aur koi bhe post read karne mein maza nahi ata ajeeb Urdu hoti hay jis ka koi khas font style bhe nahi hota.
Uska solution ye hay ke ap "Jameel Noori Nastaleeq" font ki App install karen.
Us ke liye ye steps follow Karen.
Follow these steps.
Step #1
Apne Mobile mein PlayStore se zFont name wali app install karen.Us ka link neechay diya gya hay.
zFont-custom font installer
zFont-Custom Font installer
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.mgngoe.zfont
Ab isko open karen aur ab usay kuch buniadi sharten allow karen.
Step #2
App open karne aur usay Storage access dene ke baad oper jahan zFont likha hua hay wahan uske right side mein mojood 3 lines walay button par click karen.Usay click karne se ek side bar open ho jaegi,wahan ap ko different languages ke names milen gay,ap Urdu ko select karen.
Step #3
Ap jab Urdu language par click karen gay to ek page open hoga jahan par likha hoga "Jameel Noori Nastaleeq" wahan click karen.
Step #4
Ye step boht ahm hay yahan dhiyan se amal karen.Jab agla page open hoga to English men Jameel Noori Nastaleeq different size mein likha hua nazar aega.Ap ko wahan bas set par click karna hay,set par click karne se ek dialogue box open hoga jis par likha hoga "For changing mode" ,yahan bas apna Mobile jis bhe company ka hay wo select karen.Ab aglay step par yahan ap ko phone select karna hay.Baaqi information ap ko wahan se mil jaegi.Agay ka tareeqa wo ap ko btate jaen gay.
Agar ap ke pas Samsung ka phone hay to uska version select karen.
Agar ap ke pas Vivo ya Huawei ka phone hay to "New method" par click karen.
Agar App instalation ke baad bhe font na aen to phone setting mein jakar font ko Urdu mein karlen.
Agar ap ke pas Oppo ya Realme ka phone hay to hamesha "Support Die characters" par click karen.Baaqi method ap ko App khud he batati jaegi.
Friends! Umeed hay ap ko ye post achi lagi hogi.

No comments :

Post a Comment