In this blog you will find Tricks and Tips about Facebook,Whatsapp,YouTube,Mobile phones,Videos,Play store apps and many other topics,in Sindhi,Urdu and English languages.

Apne name ki ring tone kese babae

No comments
Asslam o Alaikum.
Hello Dosto Umeed hay ke ap theek hongay.
 Aj ki es post me hm bat karenge ki hm apne name ki ringtone kaise banaye dosto agr aap apne name ki ringtone banana chahte hai to ye post aapke liye boht hi helpful hai aap is post ko poora read karke boht hi aasani se apne name ki ringtone bana sakte hai..

Website se ringtone kaise create kare....
Sab se pahle ap is link par click karen.                  https://freedownloadmobileringtones.com/

Ab aapko is website ke home page par search ring tone ka option dikhae dega,aapko us option par click karna hay.
Jab aap us search ring tone par click karengay to ek new page open hoga.Ab aapko ek search box dikhae dega.Aapko us men apna name type karna hay aur phir search par click karna hay.Ab aapke samne apne name ki saari ring tones aajaen gi,ab aapko us ring tone ke nichay download ka link milega us par click karna hay.
Ab aapke samne ek new page open hoga ab ring tone ke samne walay download option par click kar ke download kar len.

Mobile App se apne name ka ringtone kaise banaye....

My Name Ringtone Maker se Ringtone banaye....

Sabse pahle aap My name ringtone maker app ko download kar lijiye....
Ab is app ko open kare....
Jab aap is app ko open karoge to aapko isme 3 option milege....
Ab aap sabse pahle create ringtone ke option par click karna hai....
Ab aap is box me apna name type kare....
Ab aapke name ki ringtone teyar ho gyi hai agr aap ringtone ko sunna chahte hai to play par click kare or agr download karni hai to save par click kare....
or ab aapko apni us ringtone ka name type karna hai name type karne ke bad aap save button par click kre ab aapki ringtone download ho jayegi....

FDMR ringtone maker app se ringtone banaye....
Sabse pahle aap FDMR ringtone maker app ko download kar lijiye....
Ab is app ko open kare....
Ab Make ringtone ke option par click kare....
Ab is diye hue box me apna name type kare....
Ab aapko apni ringtone ke massage ko select karna hai taki jab aap us ringtone ko apne phone me lagaye taki kis trah ki ringtone bajni chahiye....
Ab aapko apni ringtone ke liye music select karna hai....
Ab aapko niche diye hue Create ringtone par click karna hai....
Ab agr aap apni ringtone ko sunna chahte hai to play par click kare or agr download karna chahte hai download ke symbol par click karke download kar lijiye...
Friends umeed hay ke apko ye post passand ae hogi.


No comments :

Post a Comment