In this blog you will find Tricks and Tips about Facebook,Whatsapp,YouTube,Mobile phones,Videos,Play store apps and many other topics,in Sindhi,Urdu and English languages.

Mobile Apps ko Voice lock kese lagaen

No comments
Asslam o Alaikum.
Friends umeed hay ap theek hongay.
Aj mein ap ko ek trick bataonga ke jis se ap WhatsApp aur Facebook par lock laga sakte hein.
Sab se pehlay ap ne PlayStore ke neechay waly link se AppLock Face name ki 1 application install karni hay,

Mobile phone mein apps ko lock kese lagaen
AppLock Face/Voice recognition
Mobile phone mein apps ko voice lock kese lagaen

https://play.google.com/store/apps/details?id=com.sensory.tsapplock

Phir is app ko open karen aur agree par click karen,phir start par click karen uske baad last walay option (Create your own unlock phrace) par click karna hay,phir agay apni marzi ka koi name likhna hay aur tick kar dena hay.Uske baad ( Skip to Enrollment) walay option par click karna hay,agay ap ka Camera on ho jaega,us mein ap ne apne face ko agay kar ke wo name bolna hay Jo ap be wahan likha tha.3 se 4 dafa ap ne wo name app mein bolna hay.Phir agay apni marzi ka pin laga dena hay.Ap ka account ban jaega.
Phir neechay OK Got it par click karna hay.Agay ap ke saare apps show ho jaen gay. Ab ap jis app par bhe lock lagana chahte hein uske ke right side mein last walay dot par click kar dena hay bas ap ka kaam ho gaya.
Ab ap ne jis app par lock lagaya tha usko open karna hay to wahan apka face lock aega ap ne apne face ko camera ke agay kar ke wo bolna hay Jo wahan bola tha to apka lock open ho jaega.
👉Friends umeed hay ap ko ye post passand aegi.

No comments :

Post a Comment