In this blog you will find Tricks and Tips about Facebook,Whatsapp,YouTube,Mobile phones,Videos,Play store apps and many other topics,in Sindhi,Urdu and English languages.

Mobile hang hone ke karan aur uska solution

No comments
Asslam o Alaikum.
Friends  umeed hay ke ap theek hongay.
Aj meN aap ke liye ek new post le kar aya hon,umeed hay aapko passand aegi.

Mobile hang gone ke karan aur unka

solution.

Bahot se friends pochte heN ke mobile hang ho raha hay uska solution kya hay.Ye post un doston ke liye hay.
   Ξ    Ξ
Main point pe hum jaate heN to pehle to hamara
android mobile hona chahiye kyuki mera exprience sirf android ka hi hay aur zyada tar log android hi use kar rahe heN.
   Ξ

Follow these tips.

   Ξ
Tip 1:
Aapke mobile meN jo bhi anti virus aur jo cleaning ke apps installed heN unhe pehle hi uninstall karden.
  Ξ
Tip 2:
Ab aapke mobile me to bahot se apps honge ab aap ko jitne kam kaam aate heN unko bhi saath meN uninstall karden kyun ki ye apps aapke bhe aapke mobile ko hang kar sakte heN kyun ki unke waja se dhire dhire apka data storage kam hojata hay aur aapko pata bhi nahi chalega aapka mobile kyon hang ho raha hay.
   Ξ
Tip 3:
Ye ek main point hay ab aap jo bhi apps ka use nahi karte ho use force stop kardo kyun ki agar wo running meN hoga to aapka mobile bahoti hang hoga
   Ξ
Tip 4:
Aur kuch kuch apps ke data bhi clear karte
raho kyun ki time pe data badh jaane pe mobile
hang nahi hoga kuch limit rakho.
   Ξ
Tip 5:
Ab agar aapne naya phone liya ho to aapke mobile meN dhara dhar app mat install karen kyun ki esa karne se naya naya mobile load nahi karsakta aur kuch hi dino baad aapka mobile hang hone lag jaata hay.
   Ξ
Tip 6:
Zyada tar log internal storage meN apps install karte heN to esa karne se RAM pe bhi
dabao badhega aur mobile hang hone lag jaayega, isliye ziyda tar apps ko aap memory card meN install karen aur jo bhi aapne internal meN install kiya hay usay aap memory card meN transfer karden.
   Ξ
Tip 7:
Aapke internal storage ko clear rakhen, mens ki apke phone memory meN mat bhariye kuch bhi, aur memory card meN bhi kuch space rakhe jese ki aapke paas agar 16 GB ka momery card hay to aapko 2-3 GB tak ki to space rakhni he hogi.
   Ξ
Tip 8:
Agar aap internet chalate heN to data On kerne ke baad kuch der ke liye kahin bhi tuch mat kariye kyun ki aap jab bhe data On karte ho tab bahot si proccess on hojaati heN jese ki Whatsapp ,Facebook notifications,any update etc aur agar aap kahin pe touch karenge to system bahoti hang hoga.
Kyon ke samne bahot se process chal rahe heN aur aap aur bhi chalana chahte ho to kuch notifications ko full aa jaane ka wait karen baad meN unko open karlen baad meN hi kuch kaam karen.
   Ξ
Tip 9:
Baar baar aapke memory aur phone memory ko pc meN connect karke scan karte rahen kyon ki kuch viruses honge to wo nikaal denge.
   Ξ
Tip 10:
Aur aap boht high leval ke browser use karte ho jese ke Google Chrome,Morzila,UC browser,esay high leval ke browser ka data zarur clear kareN.
Kyon ke zyada tar aapke mobile ko ye hi browser
hang karte heN un sabhi ke andar se clear
cookies,clear data,clear history,ye sub zarur karen,kyon ke aapke mobile ke system pe bahoti kam load ho.
   Ξ
Mene ye 10 best tips diye heN,ye aapke liye bahoti jaruri tips hay kyon ke aaj kal dekha jaaye to achhe se achhe mobile isi tarah se hang ho jaate heN,to friends bolte rehte heN ki yaar Mobile hang ho raha hay.
   Ξ
Friends umeed hay ke aapko meri ye post achi lagi hogi.
   Ξ

No comments :

Post a Comment