Tricks n Tips World

In this blog you will find Tricks and Tips about Facebook,Whatsapp,YouTube,Mobile phones,Videos,Play store apps and many other topics,in Sindhi,Urdu and English languages.

How To Lock Installed Apps In Your Phone

No comments

Asslam o Alaikum.

Friends! Umeed Hay Ke Aap Theek Hongay.

Apne Mobile Ki Apps Ko Hide Karen Aur Phone Par Password Lgaen.

Aj Main Yahi Bataounga Ke Android/Smart Phone Men Personal Data Kaise Safe Rakhte HeN Kion Ke Aksar Aap Ka Mobile Charging Ya kisi Jaga Rakha Hota Hay To Aap Ke Mobile Ko Bacha Ya koi Friends, Ya Family MeN Se Aap Ke Personal Message Read Kar Lete Hain,Ya Aap Ki Koi Personal Cheez Dekh Lete HeN, Jo Aap Kisi Ke Sath Share Nahi Karna Chahte Hain, To Aap Ap Personal Data Ko Asani Se Lock Kar Sakte Hain.Waise To Aap Ko Playstore Par Kafi Apps Mil Jainge Jis Se Ap Apne Data Ko Lock Kar Sakte Hain.Un Men Se Ek Popular Apps Ka Name "Applock" Hay.Ye Boht Acha App Hay Kiyon Ke Iska Istimal Bahut Asani Se Kar Sakte HeN.
Is App Ko Aap PlayStore Ke Is Link Se Install Kar Sakte HeN.


Ab MeN Aap Ko Mukamal Tarika Batounga Ke Kis Tarha "Applock" Install Karen Aor Us Se Kis Tarha Apna Data Safe/Lock Karen, Aor Is Ke Ilawa Aap Ko Main Bataounga Ke Kisi Photo/Video Ko Hidden Kaise Karte HeN.
Lock Lagane Wale Important Data Ki Information.

PlayStore.

Aap Playstore Par Bhi Passwpord/Pattren Laga Sakte HeN.Jab Koi Aor Aapka Mobile MeN "Playstore" Open Karne Ki Koshish Karega Lakin Woh Password Jany Baghair Playstore Open Nahi Kar Sakte,Kooshish Karega To Usy Password/Pattren Show Hoga Jo Aap Ne Set Kia Taha.

Incoming Calls.

Aap Incoming Calls Par Bhi Password/Pattren Laga Sakte Hain Jis Se Aap Ki Koi Ki Gai Call Ya Recive Ki Gai Call Nahi Dekh Sakenge.

Install UnInstall.

Aap "install/Uninstall" Par Bhi Password/Pattren Laga Sakte Hain Is Se Koi Password Ke Baghair Na Hi Apps Install Kar Sakte Hain Aor Na Hi Uninstall.

Setting.

"Setting" Par Password Lagana Bhi Zarori Hota Hai Shayad Ap Ne Note Kia Hoga Jab Bhi Bachy Mobile Chalate Hain Woh Mobile Ki Setting Zaroor Kharab Kar Dete Hain.

Task Manager.

 Task Manager Men Ap Kisi Apps Ko "Uninstall" Aor "Ram Clear" Etc Kar Sakte Hain."Applock" Se Ap Task Manager Par Bhi Password/Pattren Laga Sakte Hain.

Wifi.

Aap "Applock" Ki Madad Se "Wifi" Par Bhi Password/Pattren Laga Sakte Hain.
Mere Kehne Ka Matlab Ke Aap Ke Ilawa Koi Aor Wifi Ka Option Open Nahi Kar Sakta.

Bluetooth.

Aap "BlueTooth" Par Bhi Password/Pattren laga Sakte Hain Is Ka Faida Ye Ha Ke Aap Ka Koi Data Share Nahi Kar Sakta Matlab "Bluetooth" Baghair Password/Pattren Ke Nahi Chalega.

Mobile Data.

Aap Mobile Data Par Password/Pattren Laga Sakte Hain,Kion Ke Aap Kabhi Ghalti Se Ya Koi Aor Insan Aap Ka Mobile Utha Kar Internet Chalana Shuru Kar Dete Hai,Ab Aap "Mobile Data" Par Bhi Password/Pattren Laga Sakte Hain,Iska Matlab Bas Aap Hi Mobile Data Open Kar Sakenge.

 Messages.

Takreeban Sab Mobile Men Personal "Message" Zaroor Hote Hain,Aap Chahte Ke Aap Ke Ilawa Koi Message Read Na Kar Saken Aor Na Hi kisi Ko Message Kar Saken,To Aap "Applock" Ki Madad Se Message Par Bhi Lock Laga Sakte Hain.
Is Ke Ilawa Aap Apne Mobile Ki Gallery,Video Player,Gmail,Email,Aor Woh Sab Apps Jo Aap Ke Mobile Men Install Hongay Un Par Lock/Password Laga Sakte Hain.
Friends! Umeed Hay Ke Aj Ke Ye Post Aapko Passand Ae Hogi.

No comments :

Post a Comment

How To Use 2 Facebook,Whatsapp,Messanger and Other Apps In 1 Mobile

No comments

 Asslam o Alaikum.

Friends! Umeed Hay Ke Aap Theek Hongay.

Dosto Aj MeN Aapko Bataonga Ke 1 Mobile MeN 2 Facebook,2 Whatsapp,2 Skype ya 2 Messanger Kese Use Kar Sakte HeN.

  

Friends! Ye Trick Sub Logon Ko maloom Hay,Lekin Kuch New Users Ko Shayd Maloom Nahi Hogi,Is liye Ye Un Logon Ke Liye Hay.
Hum 1 Mobile MeN,2 Facebook,2 Whatsapp,2 Skype,Ya 2 Messange Use Kar Sakty Hain Ya Nahi?
 Gee Haan Ye Possible Hay
Aj MeN Asi Apps Laya
Hun Jis Se Aap Kisi Bhi
Apps Ka Clone Bana Sakty Hain Yani Double Use Kar
Sakty Hain.
  
Example,Agar Aap Ke
Pas Whatsapp/Facebook Ki 2 Ids Hain To
Aap Is App Ki Madad Se
Dono Use Kar Saken Gay.
Is Ke Liye Apko 2 Facebook ya 2 Whatsapp Install Karnay Ki Zrorat Nahi Pary Gi.
  
Aap Sirf Play Store Se Ye App Instal Krain.
Aur Is Doubling Se Enjoy Karen.
  
Apps_Name
Parallel Space Multiple Accounts & Two Face.
Apps Size
10 MB.

Is App Ko Aap Nichay Diye Gay Link Se Install Kar Sakte HeN.



https://play.google.com/store/apps/details?id=com.lbe.parallel.intl


  

Friends! Umeed Hay Ke Aapko Ye Post Achi Lagi Hogi.
  
Amazing Tricks Jan'ne Ke Liye Is Blog Ko Follow Karen.

No comments :

Post a Comment

How to prevent Mobile Phone from hanging

1 comment

 Asslam o Alaikum.


Friends! Umeed hay ke aap theek hongay.


Aj meN aapko bataonga ke apne Mobile Phone ko hang hone se kese bachaen.

How to prevent Mobile Phone from hanging.

Follow these steps.

1.Phone ke default Apps ko disable kar deN.

Aapke Phone meN company ke taraf se kuch bekar ke Apps default diye gaye honge agar aap un Apps ka use nahi karte hai to unhe uninstall karne ki koshis kare lekin agar wo uninstall nahi hote hai to aap unhe disable kar deN.

koi bhe App disable karne ke liye aap pahle settings meN jayeN phir Apps par click kare ab jis app ko disable karna hai us pe click kare ab aapko disable ka option dikhega usme click karke OK kar de,ab wo app disable ho chuka hai. Isi tarah aap jin jin app ko use nahi karte hai unko disable kar deN.

 2.Bekar games ko uninstall kar deN.

Ham ne kafi logo ko dekha hai ki wo apne phone meN dher sare Apps or games rakh lete hai,jis se unka phon hang karne lagta hai. phone ko achhi tarah se run karne k liye kafi ram ki zarurat hoti hai lekin agar aap faltu ke Apps ya games rakhenge to wo aapke phone ke ram ko kam kar denge jis se aapke phone ki speed bhi kam ho jayegi.To aap jin jin games ya Apps ko kam use karte hai unhe uninstall kar deN.

3.Apne Mobile meN koi acha sa Antivirus install karen.

Phone ke hang hone ya slow hone meN virus bhi ek bada reasan ho sakta hai.Kabhi kabhi to ye virus aapke phone ko slow to karte hi hai sath hi sath aapke phone ke data ya SD card ke data ko kharab kar dete hai,jo ke bahut mushkil se recover ho pate hai,ya nhi bhi hote hai.To ab aapko samjh agya hoga ki aapko apne phone meN ek antivirus app kyun rakhna chahiye.

Aap koi bhe acha sa anti virus App Play Store se install kar sakte heN.

4.Phone meN live wallpaper ya widget nahi rakhen.

Live wallpaper dikhne meN to accha lagta lekin ye bhi ek wajah ban sakti hai aapke phone ko slow karne meN,isliye koi normally wallpaper hi set karen, aur widgets bhi nahi rakhne chahiye phone meN.

5.Ram ko regularly clean karen.

Kafi sare Smartphones meN ram bahut hi kam bachta hai kyuki aap ek time meN kafi sare Apps khol ke rakh dete hai.To aap jab bhi koi app ko use kar lete hai to recent Apps meN jake usay bund karna na bhule.Aur rahi bat ram ko clean karne ki to aapko Play Store meN ram cleaner ya ram booster search karne se kafi sare Apps mil jayenge.

In my case meN clean master App use karta hon. Ye app bahut hi behtar hai ram aur junk files ko clean karne ke liye.

6. Apps cache ko regularly clean karen.

Aap jab bhi koi App use karte hai to wo App
apne program files ko cache ke roop meN
rakhta hai,jo hamare kisi bhi kam ka nahi hota hai,agar in cache files ko regularly clean nahi karenge to ye hamare phone ki memory ko khatam karne lagega.Isliye usay clean karna bahut zaruri ho jata hai.
Phone ke cache files ko delete kaise kare.
phone ke settings meN jaye phir application manager ya Apps pe jaye,uske baad kisi bhi App par click kare aur clear cache meN click karen. jaise niche screenshot meN dikhaya hua hai.

Aap isi tarah baki ke Apps pe bhi click karke unka cache regularly clear karte rahen.

Dosto umeed hay ke aj ki post aapko achi lagi hogi.
Agar aapko lagta hai ki isme kuch aur tips jorne chahiye to mujhe comment meN wo tips zarur bataiyega.

1 comment :

Post a Comment

Advantages Of Rooted Mobile

No comments

Asslam o Alaikum.

Friends! Umeed hay ke aap theek hongay.

Dear Friends! aj men ke ke sath ye baat share karne ja raha hun jis meN aapko ye bataonga ke Android Mobile ko root karne ka kiya faida hita hay.
Smartphone root karne
ke kuch faide bhe heN aur kuch nuqsan bhe heN.
Android Smartphone ko root karne ke fayde ko maine kuch points meN
discribe kiya hay.
Advantages of Rooted Android Mobile Phone.
1. Internal memory ko badha sakte hay.
2. Apne Ram ko bhi badha sakte hay,jis se
aapke mobile ki speed bhe barh jati hay,aur aapka mobile hang nahi hoga.
3. Apne Apps ko internal memory se SD card pe move kar sakte geN,jis se aapki internal memory zyada nahi bharega.
4. Root karne ke baad aap aone Andriod ke performance ko behtar kar sakte heN,jis se aapke phone par multitasking aur gaming ka performance acha milta hay.
5. Android Smartphone ke battery ko badha sakte heN Apps ke zariye.
Example ke liye "Greenify App" aapke Phone k battery life ko badha
sakta hay.
6.Root karne ke baad aap apne Android mobile ko apne mun se customised kar sakte
hai,aese kai sare Apps mil jayenge aapko jo aapke smartphone ko customized karne meN aapki madad karenge.
Jaise ki Gravity Box,xposed modules etc bhe use kar sakte hain.
7.Dost uske ilawa rooted mobile hacking meN bhe helpful ho sakta hay.

Friends! Umeed hay ke aj ki post aapko achi lagi hogi.
Mobile/PC se related tricks k liye is blog ko follow karen.

No comments :

Post a Comment

Disadvantages Of Rooting Android Mobile

1 comment

Asslam o Alaikum.

Friends! Umeed Hay Ke Aap Theek Hongay.

Friends! Aj Ki Post MeN Main Aapko Bataonga Ke Android Phone Ko Root Karne Ke Kya Disadvantages HeN.


Aap Jante Hain Ke Har Chiz Perfect Nahi Hoti,Usi Tarah Android Ko
Root Karne Ke Bhi Kuch Nuksan HaiN.
Is Liye Aapko Iske Nuksan Bhi Jan Lene
Chahiye, Iske Baad Aap Soch Ke Faisla le Ke Aapko Apna Smart Phone Root Karna Hai Ya Nahi?
1. Android Ko Root Karna Ek Illegal Process Hai Jiske Wajah Se Aapke
Smartphone Ki Warnty Khatam Ho Jayegi.
Isliye Ho Sake To Koi Purana smartphone Ko Hi Root Karna Chahiye.Agar Aapka
Phone New Hai Aur Aap Usko Root Karna Chahte HaiN To Root Karne Ke
Guide Ke Sath Sath Usko Unroot Karne Ka Method Bhe Aapko Maloom Hona Chahiye.
Yaad Rahe Ki Root Karne Aur Phir Usko Unroot Karne Ka Guide Ek Hi Article MeN
Hona Chahiye.
2.Agar Root Karte Time Koi Galti Ho Jati Hai To Aapka Phone Kisi Kam Ka Nahi Rahega.
Aur Phir Dubara On Bhi Nahi Hoga.
Isliye Root Karne Se Pahle Aapko Data Ka Backup External Sd Card Pe Backup Pe
Lena Chahiye.
3. Android Smartphone Root Karne Ka Ek Bada Nuksan Yeh Hai Ke Aap Apne Smartphone Ko Letest OTA Updates Se
Update Nahi Kar Sakte.
Company Rooted Smartphone Ke Liye
Software Updates Nahi Bhejti Hai.Lekin Aap Manually Apne Phone Ko
Update Kar Sakte HeN.
Iske Liye Aapko Zip File Se Recovery Mode MeN Update Karna Hoga.
4. Rooted Smartphone MeN Kuch Apps Kaam Nahi Karte HaiN Kyon Ki Rooting
Ek Process Hai Jis Se Aap System Ke Value Kko Change Kar Sakte HeN.
Jiske Wajha Se Kuch Apps Ko Lagta Hai Ki Aapka Device Fraud Hai,Jis Se Wo Apps Aapke Phone MeN Kaam Nahi Karte.
For Example: Google Wallet.
Root Karna Chahiye Ya Nahi?
Aapko Aapka Smartphone Root Karna
Hai Ki Nahi Ye Aapko Sochna Hoga.Kyuki Isme Fayde To HaiN Hi Lekin Kuch Nuksan Bhe HeN.
Is Liye Behtar Yehi Hay Ke Koi Purana Android Ko Root Kar LeN, Kyonki Rooted
Smartphone MeN Aap Wo Sab Bhi Kar Sakte HeN Jo Bas Aap Sochte HeN.
Jaise Maan Lo Aapke Phone Se
Sms Delet Ho Gaye HaiN To
Aap Playstore Se Deleted SMS Recovery
Ka Koi Bhi App Download
Karke Apne SMS Recover Kar Sakte HeN,Uske Liye Aapka Phone
Rooted Hona Chahiye.
Aese Kai Sare ChizeN HaiN Jinhe Aap Smartphone Ko Root Krne K Bad Hi Kar
Sakte HaiN.
Friends! Umeed Hay Ke Aapko Ye Post Achi Lagi Hogi.

1 comment :

Post a Comment

How To Delete Duplicate Files In Android Phone

No comments

Asslam o Alaikum.

Friends! Umeed Hay Ke Aap Theek Hongay.

Aj MeN Aapko Bataonga Ke Ham Apne Android Mobile Ki Duplicate Files Ko Kese Delete Karen,Or Phone Ki Memory Kis Trah CLear Karen.

How To Delete Duplicate Files In Andriod Phone.

Follow These Steps.

Step 1.
Google Play Store Se Koi Bhe Duplicate Media Remover App Install KareN.
Step 2. 
Install Ho Jane Ke Baad Usay Open Kare Aur Phir Simply “Find Duplicate” Button Pe Click KareN.
Step 3. 
Ab Aapke Phone MeN Jo Jo Duplicate Files Hai Unki Scanning Shuru Ho Jayegi. 
Is Process MeN 10 Se 15 Min Lag Sakte HeN To Aap Thora Sabar Rakhen.
Step 4. 
Abhi Aapke Phone MeN Jo Jo Duplicate Files Hai Jaise Photos,Audios,Videos Ki List Dekh Sakte HaiN. 
Ab Bs Aapko Kuch Nahi Karna Hai,Bs Aapko Upar Dikh Rahe Dustbin Ke Icon Par Click Karna Hai,Aur All Ko Remove Done Karden.
Aapki Mobile MeN Mojood All Duplicate Files Delete Ho Jaen Gi.
To Ye Thi Wo Trick Jis Se Aap Duplicate Files Ko Delet Karke Apne Phone Ki Memory Clear Kar Sakte HeN.

Friends! Umeed Hay Ke Aapko Aj Ki Post Achi Lagi Hogi.
Friends Agar Aapko Meri Posts Achi Lagti HeN To Mere Blog Ko Follow Karen.

No comments :

Post a Comment

PC Ke Folders Ko Hide Aur Unhide Kese Karen

No comments

Asslam o Alaikum.

Friends! Umeed Hay Ke Aap Theek Hongay.

   ⭐ Umeed 
Dosto Aj Main Apko Btaun Ga Ke Hum
Apne PC MeN Kisi Bhi File Ya
Folder Ko Kaisay Hide Ya Unhide Kese Kar Saktay
HeN.
   
Folder Ko Hide Kese Karen.
Apko Jo Bhi File Ya
Folder Hidden Karna
Hai Sub Se Phaly Us
Ke Proparties Par
Click Karen.
   
Phir App K Samnay Us Folder Ki Ek New Window Aye Gi Wahan Hidder Ka Box Ho Ga Usko Chek Kar Ke Ok KarDein.
   
Jesay Hi App Ok
Par click Karen Gay
To Who Folder Hidden
Ho Jaye Ga......
  
Folder Ko Unhide Kese Karen.
 
Chalen Hum Nay Folder Hidden Kar liya Lekin
Usko Dobara Show
Kaisay Karen?
To Chalen Dekhtay
Hain Ke Hidden Folder
Ko Dobara Show
Kaisay Kartay HeN.
   
Sub Se Pehlay "My Computer '' Ko Open
Karen,
Or Wahan Upar
Tool Ki Option Ho Gi
Us Par Click Karen Or
Wahan Last Option
Folder Option Ki Ho Gi
Us Par CliCk Kar DeN.
   
Folder Option Par
Click Karnay Ke Baad
App Ke Samnay Ek
Window Show Ho Gi
Wahan 2nd Option
''View'' Ki Ho Gi Us Par
Click karnay ke bad
Show Hidden Files
And Folder Par Click
Karen.
   
Show Hidden Files
And Folder Par Click
Karne Ke baad ''Ok'' Par
Click Kar Dein Jaisay Hi Aap Ok Par Click
Karen Gay To Apka
Hidden Hua Folder
Show Ho Jaye Ga.
Friends! Umeed Hay Ke Aapko Ye Post Achi Lagi Hogi.

No comments :

Post a Comment

Mobile Ke Speaker Ka Volume Kese Tez Karen

No comments

 Asslam o Alaikum.

Friends! Umeed Hay Ke Aap Theek Hongay.

Aj  Aap Ke Saath Aesi Amazing Trick Post Kar Rha Hun Jo Aapko Achi Lagi Ge.

Kisi Bhi Mobile Kay Speaker Ka Volume Tez Karen.

Friends Ye Trick Nahi But Fun Hai.

Ab Chlte Hain Thread Ki Janib,

Sab Se Phaly Aik Plastiic Walay

( Dew ,Pepsi ,Waghira) Ki

2 Litter Wali

Khali Botel Lain Our Is Ka

Dhakan Kay

Ilawa Peachy Wala Hisa

Kaat Dain,Our Is

Ka Agay Walay Hassay Se

Dhaken Uttar Kar Is Ka Monh Mobile Ke

Peachy Speaker Per Lagayein,Aap

Ke Mobile Sounding MeN 45% Farq Mahsoos Ho Ga.

⭐Friends! Umeed Hay Ke Ye Post Aapko Achi Lagi Hogi.⭐

No comments :

Post a Comment

How To Hide Your Facebook Friend List

No comments

Asslam o Alaikum

Friends! Umeed Hay Ke Aap Theek Hongay.
⭐ ⭐ ↘ ⭐ ⭐
Facebook Hamen Apni Id Secure Aor Privacy Lagane Ki Ijazat Deta Hay.
Aor Facebook Har Ek User Ko Un Ki Privacy Secure Rakhne Ki
Kooshish Karta Hay.
Is Liye Facebook Milion Log Use Karte Hain, SomeTime Ap k Friends List men Aise Friends Hote Hain Jo Ap Nhi
Chahte Ke Kisi Ko Maloom Na Ho Ya Koi Bhi Secuirity Reason Ho Sakta Hay.
Aap Facebook Ki Cool Tricks Ke Through Aap Apni Friend List Hidden Kar Sakte Hain.

Follow These Steps.

1:- Sab Se Pehle Apni Id Men Login Houn, Ab Apni Profile Men Jain.
⭐ ⭐ ↘ ⭐ ⭐
2:- Ap Ki Cover Photo Ke Neche "Friends" Ka Option Hoga Ab Ap
"Friends" Tab Men Jain.
⭐ ⭐ ↘ ⭐ ⭐
3:- Ab Ap Ko Right Corner Par "Manage" Ka Icon Show Hoga Wahan Click Karen Ab "Edit Privacy" Par Click Karen.
⭐ ⭐ ↘ ⭐ ⭐
4:- Ab Ek Option Show Hoga "Who Can See Your Friend List" Us Se Agay Ek Option Hoga"Only Me",Usko Tick Kar Den.
⭐ ⭐ ↘ ⭐ ⭐
Ab Aap Ki Friends List Hide Hogai Usko Koi Nahi Dekh Sakega Siway Aap Ke.
⭐ ⭐ ↘ ⭐ ⭐
Friends! Umeed Hay Ke Aapko Aj Ki Post Achi Lagi Hogi.

No comments :

Post a Comment