In this blog you will find Tricks and Tips about Facebook,Whatsapp,YouTube,Mobile phones,Videos,Play store apps and many other topics,in Sindhi,Urdu and English languages.

How to prevent Mobile Phone from hanging

1 comment

 Asslam o Alaikum.


Friends! Umeed hay ke aap theek hongay.


Aj meN aapko bataonga ke apne Mobile Phone ko hang hone se kese bachaen.

How to prevent Mobile Phone from hanging.

Follow these steps.

1.Phone ke default Apps ko disable kar deN.

Aapke Phone meN company ke taraf se kuch bekar ke Apps default diye gaye honge agar aap un Apps ka use nahi karte hai to unhe uninstall karne ki koshis kare lekin agar wo uninstall nahi hote hai to aap unhe disable kar deN.

koi bhe App disable karne ke liye aap pahle settings meN jayeN phir Apps par click kare ab jis app ko disable karna hai us pe click kare ab aapko disable ka option dikhega usme click karke OK kar de,ab wo app disable ho chuka hai. Isi tarah aap jin jin app ko use nahi karte hai unko disable kar deN.

 2.Bekar games ko uninstall kar deN.

Ham ne kafi logo ko dekha hai ki wo apne phone meN dher sare Apps or games rakh lete hai,jis se unka phon hang karne lagta hai. phone ko achhi tarah se run karne k liye kafi ram ki zarurat hoti hai lekin agar aap faltu ke Apps ya games rakhenge to wo aapke phone ke ram ko kam kar denge jis se aapke phone ki speed bhi kam ho jayegi.To aap jin jin games ya Apps ko kam use karte hai unhe uninstall kar deN.

3.Apne Mobile meN koi acha sa Antivirus install karen.

Phone ke hang hone ya slow hone meN virus bhi ek bada reasan ho sakta hai.Kabhi kabhi to ye virus aapke phone ko slow to karte hi hai sath hi sath aapke phone ke data ya SD card ke data ko kharab kar dete hai,jo ke bahut mushkil se recover ho pate hai,ya nhi bhi hote hai.To ab aapko samjh agya hoga ki aapko apne phone meN ek antivirus app kyun rakhna chahiye.

Aap koi bhe acha sa anti virus App Play Store se install kar sakte heN.

4.Phone meN live wallpaper ya widget nahi rakhen.

Live wallpaper dikhne meN to accha lagta lekin ye bhi ek wajah ban sakti hai aapke phone ko slow karne meN,isliye koi normally wallpaper hi set karen, aur widgets bhi nahi rakhne chahiye phone meN.

5.Ram ko regularly clean karen.

Kafi sare Smartphones meN ram bahut hi kam bachta hai kyuki aap ek time meN kafi sare Apps khol ke rakh dete hai.To aap jab bhi koi app ko use kar lete hai to recent Apps meN jake usay bund karna na bhule.Aur rahi bat ram ko clean karne ki to aapko Play Store meN ram cleaner ya ram booster search karne se kafi sare Apps mil jayenge.

In my case meN clean master App use karta hon. Ye app bahut hi behtar hai ram aur junk files ko clean karne ke liye.

6. Apps cache ko regularly clean karen.

Aap jab bhi koi App use karte hai to wo App
apne program files ko cache ke roop meN
rakhta hai,jo hamare kisi bhi kam ka nahi hota hai,agar in cache files ko regularly clean nahi karenge to ye hamare phone ki memory ko khatam karne lagega.Isliye usay clean karna bahut zaruri ho jata hai.
Phone ke cache files ko delete kaise kare.
phone ke settings meN jaye phir application manager ya Apps pe jaye,uske baad kisi bhi App par click kare aur clear cache meN click karen. jaise niche screenshot meN dikhaya hua hai.

Aap isi tarah baki ke Apps pe bhi click karke unka cache regularly clear karte rahen.

Dosto umeed hay ke aj ki post aapko achi lagi hogi.
Agar aapko lagta hai ki isme kuch aur tips jorne chahiye to mujhe comment meN wo tips zarur bataiyega.

1 comment :

  1. Hacked Facebook | Secure Facebook Account
    Click here
    https://www.savefreestuff.com/misuse-of-hacked-facebook-account/

    ReplyDelete