In this blog you will find Tricks and Tips about Facebook,Whatsapp,YouTube,Mobile phones,Videos,Play store apps and many other topics,in Sindhi,Urdu and English languages.

Disadvantages Of Rooting Android Mobile

1 comment

Asslam o Alaikum.

Friends! Umeed Hay Ke Aap Theek Hongay.

Friends! Aj Ki Post MeN Main Aapko Bataonga Ke Android Phone Ko Root Karne Ke Kya Disadvantages HeN.


Aap Jante Hain Ke Har Chiz Perfect Nahi Hoti,Usi Tarah Android Ko
Root Karne Ke Bhi Kuch Nuksan HaiN.
Is Liye Aapko Iske Nuksan Bhi Jan Lene
Chahiye, Iske Baad Aap Soch Ke Faisla le Ke Aapko Apna Smart Phone Root Karna Hai Ya Nahi?
1. Android Ko Root Karna Ek Illegal Process Hai Jiske Wajah Se Aapke
Smartphone Ki Warnty Khatam Ho Jayegi.
Isliye Ho Sake To Koi Purana smartphone Ko Hi Root Karna Chahiye.Agar Aapka
Phone New Hai Aur Aap Usko Root Karna Chahte HaiN To Root Karne Ke
Guide Ke Sath Sath Usko Unroot Karne Ka Method Bhe Aapko Maloom Hona Chahiye.
Yaad Rahe Ki Root Karne Aur Phir Usko Unroot Karne Ka Guide Ek Hi Article MeN
Hona Chahiye.
2.Agar Root Karte Time Koi Galti Ho Jati Hai To Aapka Phone Kisi Kam Ka Nahi Rahega.
Aur Phir Dubara On Bhi Nahi Hoga.
Isliye Root Karne Se Pahle Aapko Data Ka Backup External Sd Card Pe Backup Pe
Lena Chahiye.
3. Android Smartphone Root Karne Ka Ek Bada Nuksan Yeh Hai Ke Aap Apne Smartphone Ko Letest OTA Updates Se
Update Nahi Kar Sakte.
Company Rooted Smartphone Ke Liye
Software Updates Nahi Bhejti Hai.Lekin Aap Manually Apne Phone Ko
Update Kar Sakte HeN.
Iske Liye Aapko Zip File Se Recovery Mode MeN Update Karna Hoga.
4. Rooted Smartphone MeN Kuch Apps Kaam Nahi Karte HaiN Kyon Ki Rooting
Ek Process Hai Jis Se Aap System Ke Value Kko Change Kar Sakte HeN.
Jiske Wajha Se Kuch Apps Ko Lagta Hai Ki Aapka Device Fraud Hai,Jis Se Wo Apps Aapke Phone MeN Kaam Nahi Karte.
For Example: Google Wallet.
Root Karna Chahiye Ya Nahi?
Aapko Aapka Smartphone Root Karna
Hai Ki Nahi Ye Aapko Sochna Hoga.Kyuki Isme Fayde To HaiN Hi Lekin Kuch Nuksan Bhe HeN.
Is Liye Behtar Yehi Hay Ke Koi Purana Android Ko Root Kar LeN, Kyonki Rooted
Smartphone MeN Aap Wo Sab Bhi Kar Sakte HeN Jo Bas Aap Sochte HeN.
Jaise Maan Lo Aapke Phone Se
Sms Delet Ho Gaye HaiN To
Aap Playstore Se Deleted SMS Recovery
Ka Koi Bhi App Download
Karke Apne SMS Recover Kar Sakte HeN,Uske Liye Aapka Phone
Rooted Hona Chahiye.
Aese Kai Sare ChizeN HaiN Jinhe Aap Smartphone Ko Root Krne K Bad Hi Kar
Sakte HaiN.
Friends! Umeed Hay Ke Aapko Ye Post Achi Lagi Hogi.

1 comment :

  1. Hacked Facebook | Secure Facebook Account
    Click here
    https://www.savefreestuff.com/misuse-of-hacked-facebook-account/

    ReplyDelete