In this blog you will find Tricks and Tips about Facebook,Whatsapp,YouTube,Mobile phones,Videos,Play store apps and many other topics,in Sindhi,Urdu and English languages.

How to choose best mobile phone

No comments
Asslam o Alaikum.
Friends umeed hay ke ap theek hongay.
Aj mein apke liye ek new post le kar aya hon jis mein apko bataon ga ke mobile phone choose karte wakt kin baaton ka khayal rakhna zaruri hay.

How to choose best mobile phone.

Friends Aj kal jahan daily koi na koi company behtreen smart phone mutarif karwa rahi hay to wahan users ke lye ye fesla karna bhe mushkil hota ja raha hay ke wo kis phone ko select kare.
Smart phone ke is dour mein sab se zyada pocha jane wala swal yehi hay ke konsa mobile phone purchase karna chahiye aur us mein kin baaton ko khiyal mein rakhna chahiye.Is post mein inhi swalat ko zer behs laya gya hay ke ek makhsoos range mein rehte huay agar mobile ki selection ka marhala darpesh ho to kin featchers ko tarjeeh deni chahiye aur kin ko nazar andaz kar diya jae.
Sab se pehlay jis baat ka khiyal rakhna zarori hay wo ye hay ke jahan tak mumkin ho sakay kisi bhe company ki flagship series ko tarjeeh den.
Flagship series kisi bhe company ki premium line up ko kehte hen,jesa ke Samsung ki S series aur Note series,Huawei ki Mate series,One plus ki T series,aur Soni ki Xperia waghera.
Esi series mein har company apni had tak sab se behtreen hardware aur software ka combination deti hay.
Bassically kisi bhe smart phone ke 7 aham features ho sakte hein,uske ilawa baqi components secondary darjay mein atay hein.

Feature #1

In mein sab se pehla number smart phone ke software yani opreting system ka hay.
Dunia mein is wakt 2 opreting systems,Android (Google) aur IOS Apple ke phones dastyaab hein.
Iphone ke ilawa tamam smart phones Android opereting system ko use karte hein,is liye is silsilay mein user ko sab se pehlay is baat ka fesla karna hay ke wo kis echo system ko use karna chahta hay.
Agar user ko OS system se koi dilchaspi nahi hay to IOS (Apple) smart phone phir ek he surat mein qabil mawazna thehray ga jab user ki pocket usko ijazat de.Is hawale se aam tor par halki pocket walon ke liye Iphone munasib option nahi hay.Unko kisi bhe company ka Android mobile khreed karna chahiye,magar yahan bhe usko flagship series ko he fokiat deni chahiye.

Feature #2

2nd number par kisi bhe mobile ka sab se aham feature uska prosessor hota hay.Bunyadi tor par kisi bhe mobile ki performance ka inhsaar uske prosessing unit par hota hay.
Is wakt dunia mein sab se zyada use hone wale prosessors qualcomm name ki American compony ke hein.Apple ke ilawa dunia ki har company qualcomm ke prosessor use karti hay.
Samsung,Huawei aur kuch dosri companies apne prosessors bhe banati hen aur har guzrte din ke sath wo unka use bhe apne new models mein barhati ja rahi hein.
Ta dam tehreer ek aam user ko kam range mein rehe huay qualcomm snap dragon 835 aur middle range mein rehte huay 845 ke barabr ya is se behtar performance ka hamil prosessor wala phone khared karna chaiye.
Jabke is ke mukablay mein is saal mutarif karwae gay tamam companies ne flagship series ke smart phones mein qualcomm 855 ya uske barabar performance denay waly proseesor ka use kiya hay.Misal ke tor par Huawei 990 kirin,Samsung 9825 Exynos,etc.
Apple ne apne iphones mein A13 bionic chip ka use kiya hay.Yad rahe ke in tamam prosessing ke hamil smart phones thoray boht frk ke sath behtreen performance dene ke qaabil hotay hein.

Feature # 3

3rd aham feature phone memory hay.
Smart phone mein 2 memories hoti hein.Ek ko RAM aur dosri ko ROM storage kehte hein.Yahan RAM prosessing unit ka ek tarah se hisa hoti hay.
Phone ki performance RAM ki capacity ke rast mutnasib hoti hay.Lekin yahan phir ek martaba company ke software ki performance ka boht zyada dakhal hota hay,ke wo RAM ko kis tarah use karta hay.
Aam tor par tamam Android phones mein 1 GB se 12 GB tak RAM mojood hay. Aam user ke liye low aur middle range mein rehte huay 3 se 6 GB RAM waly mobile ka intakhab karna chahiye.Dosri tarf storage memory kuch mobile phones ke ilawa tamam android mobiles mein memory cards ke zariye zyada ki ja sakti hay is liye achi quality ka mobile kam starage ke sath khareed karna zyada memory waly low quality waly mobile se behtar hay.

Feature #4

4th ahm feature kisi bhe mobile mein uska display hay.
OLED ane se pehlay tamam companies LCD display ka he use karti theen.Ye display abhe tak boht se mobile phones bashmool iphone 11 mein use ho raha hay.Ye IPS LCD display hay jo LCD techonolgy ka sab se premium version hay.Lekin OLED ane ke baad har bari company ne apne phones mein khas tor par flagship series mein iska use karna shuru kar diya hay.Screen waly phones mein LCD display waly OLED phones se kuch mehngay hote hein.
Agar ap achi resolution ke sath IPS,LCD wala ke mukablay mein zyada OLED phone lete hein to apko zyada frq mehsus nahi hoga.
Is lihaz se ye kehna dursut hoga ke agar low rate ka mobile khreed karna hay to display ko nazar andaz kiya ja sakta hay ek 720 hd display 4.7 inch tak ke phones mein basri lehaz se ek acha display hay.
Yahan ye baat yaad rahe ke 1080 se zyada resolution ke hamil phones agar 4.7 inch se chotay size ke display ke sath ate hein to 720 aur 1080 waly dono display ke mukablay mein unke basri tasur mein koi frk nahi hota.
Insan ki ankh ke dekhne ki salahiat mehdood hay aur ye ek khas had par jakar zyada resolution ke bawjood ek jesa tasur he deti hay.
Ilawa azeen screen ka referesh rate aur Number of nits bhe display ki ahm khususiat hoti hein.Samsung,Apple aur Huawei waghera companies ke phones 60 hertz ke referesh ke sath ate hein.
Market mein is wakt kuch companies Asus,Google,Oppo OnePlus ne 90 aur 120 hertz ke display ke sath bhe phone mutarif karwae hein jinko battery bhe zyada darkar hoti hay.

Feature # 5

Mobile phone mein camera ek boht ahm feature samja jata hay.
Mobile companies aam tor par zyada mega pixel dikha kar apne phone ke camera ko behtar dikhane ki koshish karti hein.
Mobile camera ko use karne ke liye bhe apko photography ke buniadi asoolon se waqif hona zaruri hay,albata menhgay aur modern phones mein software ki madad se users ko kafi help di jati hay,jis ki waja se photagraphy ke asoolon se na waquf admi bhe ek achi picture le sakta hay.Lekin yahan ek baat zehn nasheen karni hay ke phone ke camera ke 1 basic component hardware aur software hein.
Hardware mein lense ka mayar zer behs hota hay jabke software us lense se lee jane wali pictures ko process karne ke tareeqakar ke mutalik hota hay.
Kai martaba koi company acha lense use karne ke bawjood acha result nahi de pati kyon ke wo software aur hardware ke bahemi taluq mein maar kha jati hay jabke uske bar aks dosri company sasta aur kam istadad ka hamil lense use kar ke apne software ki behtar performance se acha result de sakti hay.
DSLR ki nisbat mobile phone ke camera ke result mein software ka kirdar boht zyada hota hay.

Feature #6

Mobil phones ka ek aur ahm tareen feature uski battery life hay.
Smart phone jis qadr zyada khususiat wala hoga usay utni he electric power ki zarurat hogi,jo ke usay battery se hasul karni hoti hay.
Achi resolution,high speed network,behtar sound system aur hogh frame rate video recording ke liye battery bhe usi tanasub se darkar hoti hay.
Misaal ke tor par 4.7 inch screen waly phone ki screen HD ho aur dosra isi size ka phone 4k resolution ke sath ho to dono ka basri taasur apki ankh ke liye ek jesa hoga, jab ke battery 4k waly ko double darkar hogi.Is liye battery life ka andaza sirf uski capacity se nahi lagaya ja sakta.
Kisi phone ke hardware different hone ki surat mein uski 2500 mAh ki battery yaksaan use ke bawajood dosre phone mein mojood 3000-3500 mAh battery ke barabar chal sakti hay.

Feature # 7

7th number par ahm feature network hay.
Ye kisi bhe mobile ke liye bunyadi hasiat rakhta hay.Lekin aam tor par ye is waja se zer behs nahi ata kyon ke network ki genration daily change nahi hoti.
Kisi new genration (5 G) ke ane ke 1,2 saal ke period mein to uski buniad par phones ki selectoin ki jati hay,lekin baad mein zyada tar mobiles mein new genration ki support di jaati hay,jesa ke aj kal low price mobiles mein bhe 4G network use karne ki facility mojood hay.Jab ke 2014 se pehlay tak esa nahi tha.
Isi trah aj kal kuch mobile phones mein 5G use karne ki facility mojood hay jo kaafi menhgay hein.1,2 saal ke baad ye facility aam aur saste mobiles mein bhe mojood hogi.

Uske ilawa sound,fast charging,connectivity type waghera,kuch aur secondary features aur bhe hein lekin bunyadi features wohi hein jin ki tafseel uper di gaee hay.
Akhir mein saari behs ka khulasa yehi hay ke agar sab se pehli tarjeeh network aur prosessor,second number par memory aur akhir men bil tarteeb battery,camera,display,storage,fast charging,connectivity type aur speakers ko den to ap apne range mein rehte huay ek ache mobile phone ki selection kar sakte hein.
Plz follow my blog and share my post.

No comments :

Post a Comment