In this blog you will find Tricks and Tips about Facebook,Whatsapp,YouTube,Mobile phones,Videos,Play store apps and many other topics,in Sindhi,Urdu and English languages.

How to move installed Apps from Phone to memory card

No comments
Asslam o Alaikum.

Friends umeed hay ke aap theek hongay.
Aj meN aapko bataonga ke how to move installed apps from phone to memory card?
Dosto aj mein ap ke liye ek new post le kar aya hon jis mein ap ko bataonga ke ap phone mein installed apps ko memory card mein kesay move kar sakte hein.
Android Phone mein to ap boht se apps install karte rehtay hein,magar zyada apps install Karne ki waja se ap ka Mobile slow ho jata hay aur uski Phone memory low ho jati hay.
Iska solution ye hay ke ap apne Phone memory mein install apps apne memory card mein move karen,aur apna phone storage empty karden.Esa Karne se ap ka Mobile fast chalega. Memory card mein apps move Karne ke liye ap pehlay mobile ki setting mein jaen aur phir ⇨ Apps par click karen, aur phir app open Karen,aur wahan option mein ⇨ move to SD card par click karen. Ap ka install kiya hua app memory card mein chala jaega.
Agar ap ke Phone ka internal storage full ho gya hay aur ap ke phone se koi bhe app SD card mein move nahi ho raha to ap apne mobile mein link2SD app install karen. For example agar ap ke mobile ki internal storage 8GB hay aur ap ne mobile mein 32 GB ka memory card lagaya hay lekin phir bhe ap ke phone ki internal memory se koi bhe app SD card mein move nahi ho raha hay jiski waja se ap ka mobile hang ho raha hay to ap link2SD app ka use karen. Is app ko use kar ke ap apne Android phone ke sab heavy apps ko SD card mein move kar sakte ho,jis se ap ke phone ka performance behtar ho jaega.
Move installed Apps to SD card
Link2SD
Move installed apps to SD card
Link2SD card app install karne ke liye PlaySore ke is link par click karen.

https://play.google.com/store/apps/details?id=com.buak.Link2SD
Dosto ! Umeed hay ke so ko ye post passand passand ae hogi.

No comments :

Post a Comment