In this blog you will find Tricks and Tips about Facebook,Whatsapp,YouTube,Mobile phones,Videos,Play store apps and many other topics,in Sindhi,Urdu and English languages.

Memory cards info

No comments
Asslam o Alaikum.

Friends umeed hay ke ap theek hongay.
Aj mein apko memory cards ke baare mein kuch info donga.
Dost memory cards 4 qisam ke hotay hein.
SD standard up to 2GB.
SDHC Standard 2 GB to 32 GB.
SDXC Standard 32 GB to 2 TB.
SDUC Standard 2TB to 128 TB.
In 4 qisam mein se 4 number waly abi market mein nahi ae,par jald he ajaegi.Lekin 2 aur 3 qisam walay is wakt har mobile shop par mil jatay hein.
Pehlay number wala SD card kam GB wala hay,is liye ye asani se har gadget ya mobile mein chal jaega,lekin 2 aur 3 number wala card sirf un devices mein kaam karega jo usko support karengay.Yani SD ka device ke sath musabiqat rakhna lazmi hay.Is liye sab se pehlay apko apne mobile ka model number google mein search kar ke uske card slot ki information check karni chahiye.
Specification mein kuch card slot mein memory cards ko name se mention kiya hota hay,jesay Micro SDXC.Matlab apka mobile 2 TB tak card chala sakta hay,aur kuch mobiles ke card slot ke agay up to 64 GB ya up to 128 GB likha hota hay.
1 baar apne mobile ki specification zarur check karen ke apka mobile zyada storage walay SD card ko support karta hay ya nahi.
Memory cards par kuch numbers aur words likhay hotay hein.Boht kam logon ko uski malumaat hogi ke unka matlab kya hota hay.
Kuch memory cards par C2,C4,C6,C8 likha hota hay.Ye writting speed mention hoti hay,C2 wala card minimum 2 mb ki speed ko write kar paega,C10 hay to wo kam se kam 10 mb/sec write karega.
Isi tarah memory cards par U1 aur U3 bhe likha hota hay wo write speed ko show karte hein.
Esay he kuch numbers V10 se V90 tak bhe hotay hein,wo video class ke baare mein hota hay ke ap ka memory card 10 se 90 mb/ sec ki speed se write karte huay play karta hay.Esay he aur bhe boht kuch memory cards par likha hota hay.
Memory card ek dafa corrupt ho jae to phir recovery software ke bigher data wapas nahi ata.Uske liye apko 1 computer ya laptop ki zarurat hogi jis mein recovery software yani cracked version boht se mil jatay hein,jo 100 mein se 30 ya 40% data recover to kar dengay lekin uske sath apke computer/laptop ki window ka satia naas karden gay.Officially data recovery software boht menhga hota hay.
Agar ap memory card buy karna chahte hein to kisi achhi company Sandisc,Samsung,waghera ka len.Ye dono companies test ke amal se guzarne ke baad memory cards market mein bhejti hein.Aur in cards par jo read and write speed likhi hoti hay wo bhe origional he mention ki hoti hay.
Wesay agar ap ne sirf apna mobile data save rakhna hay to boht se cloud apps PlayStore par mojood hein,jesa ke Deego cloud,Getspace,OneDrive waghera.Unko PlayStore se install karlen aur in mein apni registration kar ke jitna chahen data save karlen.Na mobile loss honay ki surat mein data loss honay ka dar aur na memory card ka jhanjat aur na he mobile change karne ki surat mein data khatam honay ka rola.Bas ap in apps men registery kar ke apna password yaad rakhen.In mein lifetime apka data save rahega.
Umeed hay ye post apko passand ae hogi.

No comments :

Post a Comment