In this blog you will find Tricks and Tips about Facebook,Whatsapp,YouTube,Mobile phones,Videos,Play store apps and many other topics,in Sindhi,Urdu and English languages.

Android Phone ko Root karne ke nuqsan

No comments
Asslam o Alaikum.

Friends Umeed Hay Ke Ap Theek Hongay.
Aj Ki Post MeN Main Apko Bataonga Ke Android Smartphone Ko Root Karne Ke Nuksanat Kya HeN.

Dosto Android Mobile Ko Root Karne Jahan Boht Se Faiday HeN Wahan Uske Nuqsan Bhe HeN.
Is Liye Aapko Iske Nuksan Bhi Jan Lene Chahiye.
Iske Baad Aap Soch Ke Faisla len Ke Aapko Apna Smartphone Root Karna Hay Ya Nahi?

Mobile Ko Root Karne Ke Nuksan.

1.Android Ko Root Karna Ek Illegal Process Hay
Jiske Waja Se Aapke Smartphone Ki Warnty
Khatam Ho Jayegi.Isliye Ho Sake To Koi Purana Smartphone Ko Hi Root Karna Chahiye.
Agar Aapka Phone New Hay Aur Aap Usko Root Karna Chahte
HeN To Root Aur Un Root Karne Ke Guide Bhe Dekh LeN.
Yaad Rahe Ki Root Karne Aur Phir Usko Unroot Karne Ka Guide Ek Hi Article MeN Hona Chahiye.

2.Agar Mobile Root Karte Time Koi Galti Ho Jati Hay To Aapka Phone Kisi Kaam Ka Nahi Rahega.
Aur Phir Dubara On Bhi Nahi Hoga.Isliye Root
Karne Se Pahle Aapke Data Ka Backup External Sd Card Par Backup Kar Lena Chahiye.

3.Android Smartphone Root Karne Ka Ek Bara
Nuksan Ye Hay Ke Aap Apne Smartphone Ko
Latest OTA Updates Se Update Nahi Kar Sakte.
Company Rooted Smartphone Ke Liye
Software Updates Nahi Bhejti Hay,Lekin Aap
Manually Apne Phone Ko Update Kar Sakte HeN.
Iske Liye Aapko Zip File Se Recovery Mode MeN
Update Karna Hoga.

4.Rooted Smartphone MeN Kuch Apps Kaam Nahi
Karte HeN kyonki Rooting Ek Process Hay Jis Se Aap System Ki Value Ko Change Kar Sakte HeN
Jiske Waja Se Kuch Apps Ko Lagta Hai Ki Aapka
Device Fraud Hay Jis Se Wo apps Aapke Phone
MeN Kaam Nahi Karte.
For Example: Google Wallet.

Mobile Root Karna Chahiye Ya Nahi?

Aapko Aapka Smartphone Root Karna
Hay Ki Nahi,Ye Aapko Sochna Hoga.Kyonki Isme
Fayde To Hain Hi Lekin Kuch Nuksan Bhe HeN.
Meri Salah To Ye Hay Ke Aap Koi Purana Android Ko Root Kar LeN, Kyonki Rooted Smartphone MeN Aap Wo Sab Bhi Kar Sakte HeN Jo Bas Aap Sochte HeN.Jaise Maan Lo Aapke Phone Se Sms Delete Ho Gaye HeN To Aap Playstore Se Deleted SMS Reecovery Ka KoiDownload Kar Ke Apne SMS Recover Kar Sakte HeN.
Lekin Is App Ke Liye aapka Phon Rooted Hona Chahiye.
Aese Kai Sare Chizen HeN Jinhen Aap Smartphone Ko Root Krne Ke Baad Hi Kar Sakte HeN.

Dosto Umeed Hay Ke Aapko Meri Ye Post Passand Ae Hogi.

No comments :

Post a Comment