In this blog you will find Tricks and Tips about Facebook,Whatsapp,YouTube,Mobile phones,Videos,Play store apps and many other topics,in Sindhi,Urdu and English languages.

How to Unlock Mobile's Pattren Lock

No comments
Asslam o Alaikum.

Friends Umeed Hay Ke Aap Theek Hongay.
Aj Aapke Liye Ek Aur Trick Le Kar Aya Hon Umed Hay Passand Aae Gi.
Aj Main Aap Ko bataonga Ke Jab Aap Apne Smart Phone Ka Pattren Bhool Jain To Usay Kaise Unlock Kia Jaye.
Main Aise 2 Method Bataonga Jis Se Aap Apna Phone Unlock Kar Sakte Hain.
Aksar Ham Koi Bara Pattren Code Lagate Hain Aur Phir Ham Bhool Jatay Hain,Ya Kabhi Bache Ya koi Aur Aap Ke Mobile Se Khel Raha Ho To Ghalti Se Koi Password Lag Jata Hay,Aisi Situation Main Aap Mobiles Shop Par Chale Jate Hain Is Se Aap Ka Paise Aur Time Dono Zaya Hojate Hain Aur Sath Main Aap Ka Data Bhe Chala Jata Hay.
Agar Ap Pattren Lock Bhool Jayen Ya Ghalti Se Pattren Lock Lag Jai To Aap Khud Easy Steps Ke Sath Us Pattren Ko Unlock Kar Sakte Ho.
MeN Aap Ko 2 Method Bata raha Hon Jis Se Aap Pattren Lock Ko Unlock Kar Sakte Hain.
Method#1:-
Ap Ne PlayStore Par Jo Google Account Dia Hua Hay Us Se.
Method#2:-
Mobile Ko Factory Restore Karne Se.

→Unlock With Google Account.

1:- Jis Mobile Ka Lock Unlock Karna Hay Us Ka Pattren Kuch time Tak Ghalat Milate Raho,(Takreeban 6 baar).
2:- Ghalat Code Bar Bar Milane Se Ek Option Aiga Ke 30 Second Wait Karain Aap OK Kar Dain.
3:- Ab Neche Ek Option Show Horha Hoga "Forget Password" Ap Use Select Karain 
4:- Google account Den Jo Ap ne Mobile Ya Play Store Par Diya Tha To Ap Ne Email Aur Password Dena Hay, Jab Ap Email Aur Password Denge To Usi Time Password Unlock Ho Jaiga.
NOTE.Is Method Se Aap Ka Personal Data Bilkul Safe Rahega.
Is Method Ko Use Karne K Liye Ap Ko Google Account Ya Pin Code Yaad Hona Chahiye.Agar Ye Donu Main Se Koi Yaad Nahi Hay To Ap To Aap Factory Restore Se Unlock Kar Sakte HeN.

→Unlock With Factory Restore.

1:-Apna Mobile Swich Off Karen.
2:-Ab Home Button +Power button+Volum Up Button Ek Sath Dabain.Jin Mobile Ka Home Button Nahi Ho To Unka Power button Aur Volum Ka Button Ek Sath Dabain.
3:- In Teenoon Buttons Ko Dabai Rahe Jab Tak Mobile On Na Ho.
4:- Ab Screen Par Android System Recovery Ka Option Aiga Yahan Par Ek List Bani Howi Hogi.
5:- Koi Bhi Option Choose Karne Ke Liye Volume Up Aur Volume Down Ka use Karain 
6:- Ab Factory Reset Ka Option Choose Kar Ke Ek Bar Power Button Daba Dain.
Ab Restore Hona Shuru Hojaiga Jab Restore Hojaiga To Ap Ko Apna Smart Phone Par Koi Pattren Nazar Nahi Aiga.
Ye method Use Karne Se Aap Ka All data Delete Hojaiga.
Friends Umeed Hay Ke Apko Aj Ki Post Passand Ae Hogi.
→<>→<>→<>→<>→<>

No comments :

Post a Comment