In this blog you will find Tricks and Tips about Facebook,Whatsapp,YouTube,Mobile phones,Videos,Play store apps and many other topics,in Sindhi,Urdu and English languages.

FaceBook ID se Apps ko kese remove karen

No comments
Asslam o Alaikum.

Friends umeed hay ke aap theek hongay.
Aj meN aapko bataonga ke aap Facebook Account se kisi App ko kaise remove kare(kyon ke is se ap ki Id 100% hack ho skti hai).

Follow these steps.

   
Step 1: Facebook account meN login karne ke baad account ki setting meN jana hay phir App ke section meN jana hay.
Direct App ke setting meN ja sakte heN.
   
Step 2: Ab aapko Apps ki puri list dikh jayegi,ismeN se dekhen agar koi aesa App hay jisko aap
use nahi karte ya phir jiske bare meN nahi
jaante usko remove kardeN.Remove karne ke liye mouse uspar lejaye,phir
x ke icon par click kare.
   
Step 3:Ab ek Popup aayega.usmeN remove
ke button par click kareN,is trha aap sab Apps ko remove kar sakte heN.
   
Aap jin Apps ko permission dena
chate ho to uspar click karke set kar sakte ho.
App ko jo bhi Permission dena hay uspar tick
rehane de aur last meN save ke bhutton par click
karde.
   
To Friends meN aapse bilkul kehna chahunga ke
aap apne account meN ek baar Apps meN jakar
zarur check karen ke kahin koi aesa app to connect
nahi hay account me jiski aapko koi zarurat nahi
hay ya dhoke se ho gaya ho.
   
Jo fake App hay wo kaha se aa jate hay
Facebook Account meN?
Ye sawal bhi aapke dimag meN aa sakta hay.
To uska sidha sidha jawab hay,Autoliker se.
Koi bhi aesi site jo dekhne meN sahi nahi
lage to uske App ko Facebook se kabhi
connect nahi karen.
Aur agar majburi meN karna
bhi par raha ho to baad meN us Apps ko account se remove karde, jese upar bataya gaya hay.
   
Jab bhi kisi App ko Facebook se connect
kare to usko kya kya permision mil rahi hay
zarur ckeck karlen,allow karne ke pehle.
Edit info par click karke check kar sakte hay.
Kya kya info lega App hamare account
se.Is tarha ki hack se bachne ka sirf ye tarika
hay ki jo Website achi naa ho uske App ko
kabhi account se connect na karen.
Aur agar galti se ho bhi jata hay
to account ki setting meN jakar Apps ko
remove karde.
    
Friends umeed hay ke aapko ye post achi lagi hogi.

No comments :

Post a Comment