In this blog you will find Tricks and Tips about Facebook,Whatsapp,YouTube,Mobile phones,Videos,Play store apps and many other topics,in Sindhi,Urdu and English languages.

3 Interesting Android Applications

No comments
Asslam o Alaikum.
Hello friends! umeed hay ke ap theek hon gay.
aj men ap ko 3 interesting android applications k baare men batata hon,umeed hay ke ye post ap ko achi lagen gee.

(1) Pocket:Save Read Grow.

Friends agar ap column,news ya koi articals read karte hen ya zyada tar websites mobile par visit karte hen to ye android appliction apke lye interesting hay.Is app k zariye ap kisi bhe website ko baad men parhe jane wale khane men bhej sakte hen.Misaal k tor par ap kisi artical ko baad men parhna chahte hen to apko ye karna hoga k is website k optipn men jana hoga aur usko pocket app men bhej dena hay uske baad jab bhe apka dil kare ap pocket app ko open karen aur apni list men say apne selected kye hue artical read karen ya website ka vizsit karen.
Pocket save read grow
Pocket save read grow

Is application ko Play Store ke is link say download kar saktay hen.

(2) Speed Test by Ookla

Agar ap apne internet ki speed check karna chahte hen k download ya upload speed kitni aa rahi hay,chahe wo sim ki ho ya wifi ki to ye bhe apke lye boht he interesting app hay aur apko ek click par apke internet ki speed bata day gee.
Speedtest by Ookla
Speedtest by Oakla

Ye bhe ek interesting application hay jis ko ap Play Store ke is link say download kar sakte hen.

(3) TeamViewer for Rmote Control.

Kaafi doston ko pata hoga ke team viewer ke zariye kisi bhe computer ko jo internet say connected ho aur dunia bhar men kahen bhe ho usbko bhe remote access dee ja sakti hay.Jahan uske boht say faeday hen,wahan ek faeda ye bhe hay ke is ke zariye ap apne mobile ki access bhe kisi aur ko day sakte hen jo mustaqil nahi hogi,jab ap access dena chahen tab he hogi,uske ilaws koi bhe apke mobile ko access nahi kar sakay ga.
Ap jis ko access dena chahte hen k wo ap ke mobile men aa sakay aur uski settings ya doosre features ko use kar sakay,jo k apko bhe screen par nazar aega k wo admi apke mobile k sath kya kar raha hay.
Ye apke mobile men control bhe ho tab bhe kisi k mobile men ja saktay hen lekin jis k mobile men jana hay uske mobile men teamviewer quick support app hona lazmi hay.usko open karne k baad 1 ID show hoga wo ap apne friend ko den wo us ID ko apne mobile ya computer men team viewer for remote app men likhay ga aur connect k button par click kare ga,uske click karne say doosri friend k mobile men 1 option show hogi k koi apke mobile ki access chahta hay agar ap ijazat dena chahen to approve kar den,warna ap cancel bhe kar saktay hen.Agar ap ne approve kar dee to apke mobile ki access us friend k pass bhe show ho jaegi,jisko wo use bhe kar sakta hay,aur ap apni mobile men dekh saktay hen k wo apki mobile par kya kar raha hay,taa k wo apki mobile say koi zaati data ya picturs waghera na nikaal sakay.
TeamView for remote control
TeamViewer for Remote Control

Team viewer for Remote Control app ko ap Play Store ke link say download kar saktay hen.
TeamView Quick Support ko ap Play Store ke is link say download kar saktay hen.
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.teamviewer.quicksupport.market
Friends! umeed hay k ye android applications ap ko interesting lagen gee.
Aur ap ko meri ye post passand aee hogi.
Plz follow my blog and share my post.


No comments :

Post a Comment