In this blog you will find Tricks and Tips about Facebook,Whatsapp,YouTube,Mobile phones,Videos,Play store apps and many other topics,in Sindhi,Urdu and English languages.

Smart Phone Tips

2 comments
Asslam o Alaikum.
Friends umeed hay ke ap theek hongay.
Aj ap ke lye ek new post hazur hay.
Smart phones aj kal har kisi ke pas mojood hay,aur log un ke features ka behtreen use bhe jante hain,magar phir bhe smart phone main kuch esi cheezen chupi hoti hen jin ka aksar logon ko pta nahi hota.
Kuch esi he hidden smart phone tips jo users ke lye helpful hongi.

Auto Rotate Option

Ap ko smart phone main screen rotation function ko disable rakhna chahiye aur zarurat ke wakt he use karna chahiye kyon ke is ko use karne par ek khas sensor exlometer harkat men ata hay jo battery ko boht tezi se khatam kara hay.

Charging ke wakt mobile use na karen.

Kya apko maloom hay ke charging cables ko zyada lamba kyon nahi rakha jata iski waja phone ko charging ke doran use karne ke khayal ki hosla shikni karna hay,kyon ke is se batteey ki life mutasir hoti hay.

Fast charging.

Agar ap phone tezi se charge karna chahte hain to to air plane mod on kar ke charge karen,kyon ke is doran phone signal search nahi karta aur battery fast charge hoti hay.
Aj kal mobile compnies fast charging support deti hain magar phir ye trick fast charging ke lye achi hay.

Shutter button ka use.

Agar ap camera open kar ke photo lena chahte hen to shutter ya photo lene walay button ko daba kar rakhen to 1 second man kaee photo lena mumkin ho jaega (iska inhasar phone par hota hay ke kitni pictures khenchta hay) magar kafi logon ko iska pta nahi hay.

Volume button ko shutter button ke tor par usr karen.

Kaee baar default shutter button ko dabana mushkil hota hay khas tor par jab phone ka display kafi bara ho jis ki waja se picture kharab ho jati hay to ap volume button ko bhe shutter button ke lye use kar sakte hein.

Video ki audio behtar banaen.

Ap phone ke micro phone ko cover kar ke video banate huay audio ka mayar behtar bana saktay hain,ess karne se background noise chhup jati hain aur main audio stream ko behtar sun patay hen,bas video banate huay fingure se micro phone ko cover kar den.

Black wall paper.

Phone ki battery aksar bohy tezi se khatam hoti hay usko roknay ka ek acha tarika ye bhe hay ke phone ke back ground men kisi picture ki jaga black wall paper ko use karen.

Alarm ki awaz tez karen.

Agar apko dar hay ke smart phone ke alarm ki awaz apko neend se uthane men nakam rahe gi to apne phone ko ek cup ya mug mein rakh den esa karne se alarm ki awaz boht zyada ho jaegi ۔

Phone ko restart karen.

Apka phone har wakt behtar nahi chal sakta magar usay achay tarikay se chalane ke lye hafte mein kam se kam 2,3 baar restart karen is tarah apps reset hongi aur smart phone ko kuch aram bhe mil jaega.

Friends umeed hay ke apko meri smart phone tips ki post passand ae hogi.
Plz follow my blog and share my post.

2 comments :

  1. Its a great pleasure reading your post.Its full of information I am looking for and I love to post a comment that "The content of your post is awesome" Great work. check the call history

    ReplyDelete